Wahabi deobandi gair muqallid wagairah se aam awaam ka behas karna kaisa hain ?

Jawab:nnAwaam ko unse bahas karne ki ijazat nahi.nnBalkeh ahl e ilm bhi unse khaah makhaah bahas karne se bachein, unse bahas karne se koi faaidah nahin hai is liye keh quran o hadees se saabit hai keh woh log islam ki taraf palat kar nahin aayenge.nnHadees shareef mein hainnHazrat e abu sa’eed khudri ??? ???? ????? ??? se riwayat hai keh rasoolullah ??? ???? ????? ???? ???? ne irshad farmaya.nn”mashriq se kuch log namoodaar honge quran kasrat se padhenge lekin unke halaq se neeche nahin utrega deen se aise nikal jaayenge jaise teer nishana ko paar karke nikal jaata hai phir deen mein laut kar wapas nahin aayenge jab tak teer laut kar apne challe par na aa jaaye arz kiya gaya unki alamat kiya hogi?nFarmyaa sar mundana ya sar mudaye rakhna”nn(Bukhari shareef jild 2 safah 1128 kitaburrad alal jahmiyya)nnIs hadees shareef se saaf zaahir hai keh woh log islam ki taraf nahin lautengennAur chunkeh inke aqaaid bhi ahl e risalat ke munaafiqo ki tarah hain to ye log quran hakeem ki is aayat ke bhi misdaaq hainnn?????? ?????? ?????? ?????? ??? ???????????nn2-Al-Baqara : 18nnTranslation: Bahre goonge andhe to woh phir aane wale nahinnn(Kanzul imaan)nnAala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi ??? ???? ????? ???nse sawal hua kenn”ye dua karna ke Allah wahabiyo ko hidayat kare jaayez hai ya nahin”nnIske jawab mein irshad farmate hainnnWahabiya ke liye dua fuzool hai ?? ?? ?????? unke liye aa chuka hai wahabi kabhi laut kar na aayega aur jo hidayat paa jaaye woh wahabi na tha ho chala than(Almalfooz hissa 3 safah 36)nnIN IBARAAT SE SAABIT HUA KEH WOH LAUTNE WALE NAHIN.nnLIHAZA UNSE BAHAS BILKUL FUZUL HAI AUR IS MEIN KOI FAAIDAH NAHINnnHamare kuchh sunni hazraat kahte hain keh ham to sunni hain hamara kuch nahin bigdega unse,nnHalankeh Hamein hukm hai keh imaan chale jaane ka har waqt khauf rakhna chahiyennAaj hamari awam be dharrak unse bahas o mubasah mein lag jaati hain aur pichhle zamaane mein ulama bhi unse bachte the.nnAala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi ??? ???? ????? ??? se sawal hua kenn”mutasallib sunni ko ie’teraaz ki nazar se khubasa ki kitaabein dekhna jaayez hain ya nahin”nnIske jawab mein irshad farmate hainnnFaqat mutasallib hona kaafi nahin balkeh aalim ho, poora maahir ho, wasee’ nazar ho, iske saath mutasallib sunni bhi ho, kiya ie’temaad rakhta hai apne nafs par? aur jo apne nafs par ie’temaad kare us ne bade kazzaab (bahut bade jhoote) par ie’temaad kiya.nn(Almalfooz hissa 4 safah 18)nnDOSRI JAGAH HAInnAala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi ??? ???? ????? ??? irshad farmate hainnnImam sa’eed ibn e jubair ??? ???? ????? ??? raasta mein tashreef liye jaate the ek badmazhab mila imam se kaha main kuchh arz karna chahta hun farmaya main sunna nahin chahta. Usne kaha sirf ek baat, aapne chhungliya ke pahle pore pe angootha rakh kar farmaya ??? ??? ???? aadhi baat bhi nahin sununga logo ne sabab poochha farmayann?? ????? ???? ??nnphir farmaya akabir ki to ye haalat hai. aur ab ye haalat hai keh jaahil sa jaahil juta parrta hai aariyon se wahabiyon se, aur kuchh khauf nahin karta.nnJo tamam funoon ka maahir ho tamaam pech jaanta ho, poori taaqat rakhta ho, tamam hathiyaar paas hon, usko bhi kiya zaroor keh khwah makhwah bhediyon ke jangal mein jaaye.nnHaan agar zaroorat hi aa pade to majboori hai Allah par tawakkul kare in hathiyaaron se kaam lenn(Almalfooz hissa 4 safah 3) nnSarkar e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne hamein hukm farmaye hai keh unse door raho to unse door rahne mein hi hamare imaan o aqeede ki hifazat hainnHadees shareef mein hainnHazrat e abu hurairah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai keh rasoolullah ??? ???? ????? ???? ???? ne irshad farmaya:nnAakhiri zamane mein kuchh farebi jhoote paida honge jo tumhare paas aisi baatein le kar aayenge jin ko na tum ne suna hoga na tumhare baap dada ne to unse door bhago aur unhein apne se door rakho kahin woh tumhein gumraah na kar den kahin woh tumhein fitne mein na daal den.nn(Muslim shareef jild 1 safah 10)nnDekhiye gaib daan nabi Sarkar e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? farma rahe hain keh woh log tumhare paas aisi baatein laayenge jo na tum ne suni hai na tumhare baap dada ne,nnIs zamane mein dekh lijiye keh badmazhab apni badmazhabi ki baat hamare paas laa rahe.nnSarkar e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ka farmaan harf ba harf sahih aur iske aage hi Sarkar e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne hamein hukm farmaya keh unse door bhago aur unko door bhagaau is par hamara amal kamzor hai.nnSarkar e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ke is farmaan mein kitni hikmate hain jo ahl e ilm pe posheedah nahin.nnFarmaya unko door bhagaao khud door bhago isko is misal se samajhiye keh aap ke saamne saanp aa jaaye to aap pahle koshish karenge keh usko bhaga de ya maar de.nnMagar woh taqatwar nikla aur qareeb hai ke aap par hamla kar de to ab yahan ek hi soorat bachegi keh khud bhaagein.nnTo hadees shareef ka mafhoom ye hua keh agar aap ke paas badmazhab aaye to usko bhagaiye kisi bhi tarah se use apne qareeb na aane den aur agar kisi tarah woh musallat ho jaaye to ab imaani farz ye hai keh khud ko usse door bhag aayein.nnYAAD RAKHIYE KEH SARKAR E AQDAS ??? ???? ????? ???? ???? HAM IMAAN WALE SUNNIYO KO HUKM FARMAYE HAIN KEH UN SE DOOR RAHEIN KEH IMAAN KI DAULAT HAMARE PAAS HAInnHadees shareef ka ye mafhoom nahin keh badmahabon se kaha gaya ho keh tum sunniyo ke paas mat jaananBALKEH HAM KO YE HUKM HUA KEH UN SE DOOR RAHEINnnWoh to insaani shaitaan hain woh chahte hain keh aap se mel jol rakhe aur is tarah hamra imaan cheen le, unki madad ke liye jinnat ke shaitaan ki poori fauj bhi hai aur har waqt hamare imaan ko lootne ke firaaq mein hai.nnAllah ????? hamein maslak e haq maslak e ahl e sunnat o jamat jisko pahchhan ke liye is zamane mein maslak ala hazrat kahte hain is maslak par mazbooti se qaaim rakhe aur isi maslak pe maut ata farmaye.nn????? ?????? ????nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love