Dhadi ek mutthi honi chahiye ye kahan se sabit hai?

Dhadi nahi katni chahiye aur munchhe katrana chahiye iska hawala hai to de.

Jawab: Daarhi Mundaana haraam hai.

Durr e mukhtar mein hai “mard ko daarhi mundana haraam hai”.

Fath ul Qadeer, Durr e Mukhtar, Raddul Mohtaar, Bahr Raayeq, Tahtawi mein hai..

“Darhi jab ek musht se kam ho to uska kaatna jis tarah Kuch Magribi aur zanaane zankhe karte hain kisi ke nazdeek jaayez nahi aur poori darhi ka safaaya karna ye kaam to hindustaan ke yahudiyo aur iran ke majoosiyo ka hai.

Alahadrat Imam Ahmad Raza fazil e bareilwi Quddisa sirruh ul azeez farmaate hain “Daarhi katraana mundaana haraam hai”(Fatwa Razviya)

Huzoor Sadrushshariya farmate hai.

“Darhi barhana sunan e Ambiya e saabiqeen se hai mundaana ya ek musht se kam rakhna haraam hai”

(Bahar e shariat)

Hazrat Shaikh Abdul haq muhaddis dehlwi Alaihir Rahmah farmaate hain.

“Darhi mundana haraam hai angrezo, hinduwo, aur qalandario ka tareeqa hai aur darhi ko ek musht tak chhor dena wajib hai aur jin foqaha ne ek musht darhi rakhne ko sunnat qarar diya (to is waja se nahi ke unke nazdeek wajib nahi.

Balke is waja se ke ya) to sunnat se muraad Chaalu Rasta hai ya is waja se ke ek musht ka wujoob Hadees shareef se saabit hai.

(Yaani Hadees e Rasool ko bhi Sunnat e Rasool kaha jaata hai).

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love