Hazrat aise alfaz kehne wale par kya hukm hai?

Jabki zaid ko kafi samjhaya gaya aur zaid huzoor tajushshariya sarkar ka mureed hai Aur zaid ko huzoor tajushshariya ke jawab bhi sunaye gaye hai.

Fir bhi zaid ne aise alfaz kahe hai toh ispar kya Hukm hoga.

1) Ali Alaihisalam

2) Bhai panjetan e pak faristo se kam hai kya?

3) Hazrat Hussain na hote toh Islam bhi nahi hota aaj.

4) Mere liye panjetan e pak farishtey hi hai.

5) Shia shamjna hai samjho but panjetan e pak sir akho par.

6) Mere liye sahi hai mujhe kisise puchne ki zarurat nahi.

7) Panjetan e pak AlaihisalamnnHazrat jawab de kar rehnumaiye farmaye.

Jawab:

1) Gair E Ambiya o Malaika ke Naam ke Sath Alaihissalam ka istemaal Mamnoo hai, ke ye Ma’soomeen ke liye khas aur Alamat hai.

2) Panjatan e pak me Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Tamam Makhlooq mein sab se Afzal aur Baqiya Sahaba e Kiraam Rusulaan e Malaaika Ke Siwa Tamam Farishto se Afzal hain.

Lehaza is jumle mein harj nahi ke wo Farishto se kam nahi.

3) Islam ki Hifazat Allah Ta’ala ne Apne Zimma e karam par liya hai aur har zamane mein kisi na kisi Apne Mahboob bande ke zariye se Allah ne Deen ki Hifazat farmaayi.

Lehaza ye jumla kehna ke Hussain na hote islam na hota.

Yaani Khatam ho jaata, Mubaalga hai aisa jumla na kaha jaayein.

4) Ye Rawaafiz ka Aqeeda hai k wo Hazrat Ali, Hazrat Fatima o Hasnain e Kareemain RadiAllahu Taala Anhu ko Ma’soom Maante hai.

Jab ke Ahle Sunnat o Jamaat ka aqeeda ye hai ke wo Ma’soom nahi, balke gunaaho se mahfooz hain.

Lehaza Unhe Is Maa’na mein Farishta kehna ke wo Ma’soom hain, Ma’mool e Ahle Sunnat ke khilaaf hai.

5) Panjatan se Haqeeqi Muhabbat Sunni sahih ul Aqeeda rakhte hain na ke shia o rawafiz,

6) Inme se tamam bato ka jawab ijmalan zikr kar diya gaya, ab agar koi aisa jumla kahe ke mujhe kisi se poochne ki zarurat nahi.

Yaani agarche mai galat hu, to galat hi karunga Magar Ulama e kiram se daryaft na karunga.

To Aisa jumla Istemaal karna sakht gunah o Najaayez hai.

7) Jawab upar zikr hua.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love