Huzoor Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Namaz e Janaza Kisne Padhaya Hai?

Jawab:nnJanaza e Aqdas Par Namaz Ke Baab Me Ulama Mukhtalif Hain.nnKuch Logo Ke Nazdeek Ye Namaz Ma’roof Na Hui. Balke Log Giroh Dar Giroh Hazir Aate Aur Salaat O Salam Arz Karte.nnAur Bahot Ulama Yahi Namaz E Ma’roof Maante Hain Ke Sayyedna Siddiq e Akbar ??? ???????? ?????? ??????????? Taskeen E Fitan O Intezam E Ummat Me Mashgool, Jab Tak Unke Dast E Haq Parast Par Bai’t Na Hui Thi, Log Fauj Dar Fauj Aate Aur Janaza E Anwar Par Namaz Parhte Jaate.nnJab Bai’t Ho Chuki Aur Hazrat Abu Bakr E Siddiq Wali E Shara’i Hue, To Unho Ne Janaza e Muqaddas Par Namaz Parhi.nnPhir Kisi Ne Na Parhi. Isliye Ke Wali Ke Namaz Parh Lene Ke Baad, Phir Namaz e Janaza Ke I’aada Ka Ikhtiyar Nahi.nnHazrat Abdullah Bin Mas’ood ??? ???????? ?????? ??????????? Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullah ? Ne Farmaya:nn“Jab Mere Gusl O Kafan Se Faarig Ho Mujhe Na’sh E Mubarak Par Rakh Kar Baaher Chale Jaao. Sab Se Pehle Jibr’eel Mujh Par Salaat Karenge, Phir Mikail Phir Israafil, Phir Malak Ul Maut Apne Saare Lashkaro Ke Sath, Phir Giroh Giroh Mere Paas Haazir Ho Kar Mujh Par Durood O Salam Arz Karte Jaao”.nnBaihaqi, Tibraani Mo’jam e Ausat Ba Hawaala Fatawa Razavia Jild 4 Safah 54

Share your love