Jawab:nnAaqa Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Liye Juloos Nikalna Koi Nayi Baat Nahi Hai. Balki Sahaba E Kiraam Radi’Allahu Anhum Ne Bhi Juloos Nikala Hai.nnSahih Muslim Ki Hadees Mein Hai Ki Jab Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Hijrat Karke Madina Sharif Tashreef Le Gaye Toh Logo Ne Khoob Jashn Manaya.nnToh Mard wa Aurat Apne Gharo Par Chadh Gaye Aur Naara-e-Risalat Lagate Aur Kehte Yaa Muhammad Yaa Rasoolallah! Yaa Muhammad Yaa Rasoolallah!.nnSahih Muslim, Hadees: 7707nnEk Riwayat Mein Aata Hai Ki Hijrat e Madina Sharif Ke Mauqe Par Jab Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihi Wassallam Madina Sharif Ke Kareeb Pahunche.nnToh Buraida Aslami Apne Sattar Sathiyon Ke Sath Damane Islam Se Wabasta Hue Aur Arz Kiya Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Madina Sharif Mein Aapka Dakhila Jhanda Ke Sath Hona Chahiye, Phir Unhone Apne Amame Ko Neza Par Daal Kar Jhanda Banaya Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Aage Aage Rawana Huwe.nnWafaul Wafa, Hissa: 1, Page: 243nn