Kya Huzoor E Akram Sallallahu Alaihi Wassallam Ki Wiladat

Milad un Nabi Ki Khushi Manane Par Faida Pahunchata Hai?

Jawab:

Ji Haan! Abu Lahab Jo Kufr Ki Halat Mein Mara, Uska Mamla Yeh Tha Ki Usne Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wassallam Ki Bi’asat Ke Baad Apni Baqi Bachi Zindagi Islam Aur Paigamber e Islam Ki Mukhalifat Mein Guzari.

Lekin Uske Marne Ke Baad Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Chacha Hazrat Abbas Radi’Allahu Anhu Ne Usko Khwab Mein Dekha, Hazrat Abbas Radi’Allahu Anhu Ne Ussey Pucha Ki Marne Ke Baad Tujh Par Kya Guzri?

Usne Jawab Diya Ki Main Din Raat Sakht Azaab Mein Mubtala Hoon.

Lekin Jab Pir (Monday) Ka Din Aata Hai, Toh Mere Azaab Mein Kami Kardi Jaati Hai Aur Meri Ungaliyon Se Paani Jaari Ho Jata Hai.

Jise Peekar Mujhe Sukoon Milta Hai.

Azaab Mein Kami Ki Wajah Yeh Hai Ki Maine Pir (Monday) Ke Din Apne Bhatije (Muhammad Sallallahu Alaihi Wassallam) Ki Wiladat Ki Khushkhabri Sunn Kar Apni Khadima Suwaiba Ko In Ungaliyon Ka Ishaara Karte Huwe Azad Kar Diya Tha.

Sahih Bukhari, Hadees: 5101

Yeh Waqia Hazrat Zainab Bint e Abi Salma Se Marwai Hai.

Jise Muhaddiseen Ki Badi Tadad Ne Milad un nabi Ke Waqiya Ke Bayan Mein Naql Kiya Hai.

Sahih Bukhari Ki Riwayat Hai, Urwa Ne Bayan Kiya Hai Ki Suwaiba Abu Lahab Ki Azad Ki Hui Bandi Hai.

Abu Lahab Ne Usey Azad Kiya Toh Usne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Dhudh Pilaya.

Paas Jab Abu Lahab Mar Gaya, Toh Uske Baaz Ghar Walon Ko Woh Bure Haal Mein Dikhaya Gaya.

Usne Ussey (Yaani Abu Lahab Se) Pucha: “Tuney Kya Paya?”

Abu Lahab Bola: Maine Tumhare Baad Koi Rahat Nahin Payi, Siwaye Ke Suwaiba Ko Aazad Karne Ki Wajah Se Jo Is (Ungali) Se Pilaya Jaata Hai.

Sahih Bukhari, Hadees : 5101

Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelwi (958-1052 Hijri) Is Riwayat Ko Bayaan Karne Ke Baad Likhte Hai Ki

“Yeh Riwayat Milad un nabi Ke Mauqe Par Khushi Manane Aur Sadqa wa Khairat Karne Walon Ke Liye Daleel Aur Sanad Hai.

Abu Lahab Jiska Mazammat (Burai) Mein Quran E Pak Mein Puri Surah Nazil Huwi.

Jab Woh Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Mein Laundi Azad Karke Azaab Mein Kami Hasil Kar Leta Hai.

Toh Us Musalman Ki Khush-Naseebi Ka Kya Aalam Hoga, Jo Apne Dil Mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Aur Aqeedat Ka Izhar Karein.”

Madarijun Nabuwa, Hissa: 2, Page: 19

Dosto Zara Gaur Karo! Abu Lahab Jaisa Kaafir Ko Jab Milad un Nabi Sallallahu Alaihi Wassallam Par Khushi Manane Par Faida Mila, Toh Hum Mustafa Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Aashiq Kyun Kar Mehroom Reh Sakte Hai?

Share your love