Kya Sahaba e Karam Radiallahu Anhu Ne Bhi Kabhi Milad Un Nabi Ki Mehfil Munaqqid Ki Hai?

Jawab:nnJi Haan! Imam Bukhari Ke Ustad Imam Ahmad Bin Hambal Likhte Hai:nnSayyiduna Ameer Muawiya Radiallahu Anhu Farmate Hai:nnEk Roz RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wassallam Ka Apne Ashab Ke Halqe Se Guzar Hua, Aap Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya: Kyu Baithe Ho?nnUnhone Kaha : Hum ALLAH ? Ka Zikr Karne Aur Usne Humein Jo Islam Ki Hidayat Ata Farmai Us Par Hamd wa Sana (Tareef) Bayaan Karne Aur Usne Aap Sallallahu Alaihi Wassallam Ko Bhej Kar Hum Par Jo Ehsaan Kiya Hai. Uska Shukr Ada Karne Ke Liye Baithe The.nnAapne Farmaya: ALLAH ? Ki Kasam! Kya Tum Isi Ke Liye Bethe The?nnSahaba Ne Arz Kiya: ALLAH ? Ki Kasam! Hum Sab Isi Ke Liye Baithe The.nnIs Par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Abhi Mere Paas Jibrail Alaihissalam Aaye The, Unhone Kaha Ki ALLAH ? Tumhare Wajah Se Farishton Par Fakhr Kar Raha Hai.nnSunan Basai, Hadees: 5443, Al-Mozmul Kabeer: Tibrani, Hadees: 16057nnIs Hadees Se Sabit Hua Ki Sahaba Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Milad (Paidaish) Par Sukhr Ada Karte The.nnYaha Yeh Baat Bhi Qaabil e Zikr Hai Ki Jo Log Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Meelad Sajate Hai Aur Usmein Sharik Hote Hai.nnALLAH ? Aise Bando Par Farishton Ki Jamat Mein Fakhr Farmata Hai Aur Haan! Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zikr ALLAH ? Hi Ka Zikr Hai Is Par Qur’an Aur Huzoor Ki Hadeese Gawaah Hai.

Share your love