Quran Majeed Se Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Amad Par Khushi Manane Ki Daleel?

Jawab:

Ji Haan! ALLAH Ta’ala Quran Majeed Mein Irshad Farmata Hai:

Tarjuma:

Aey Habeeb Aap Farma Dijiye Ki ALLAH Ke Fazl Aur Uski Rehmat Milne Par Musalmanon Ko Chahiye Ki Khushiyan Manaye.

Surah Yunus: Aayat: 58

Is Aayat Mein Yeh Hukm Diya Gaya Ki Jab ALLAH Ka Fazl Aur Uski Rehmat Naazil Ho Toh Momino Ko Is Par Khushiyan Manani Chahiye.

Ab Kisi Zahen Mein Yeh Sawal Aa Sakta Hai Ki Kya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wassallam Ki Rehmat Ka?

Jo Hum Unki Aamad Par Khushiyan Manaye.

Iska Jawab Bhi Khud Quran Majeed De Raha Hai.

Tarjuma:

Humne Tumhein Nahin Bheja Magar Rehmat Saare Jahan Ke Liye.

Surah Ambia: Aayat : 107

Alhumdulillah Rasool e Arbi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Is Duniya Mein Tashreef Lana Rehmat Hai Aur Pehli Aayat Mein ALLAH Ta’ala Humein Rehmat Milne Ki Khushiyan Manane Ka Hukm De Raha Hai.

Ab Batao Musalmanon! Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zaat Mubarak Se Badh Ke Rehmat Kaun Ho Sakta Hai.

Milad un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Khushiyan Kyun Na Manaya Jaaye.

Alhamdulillah Quran Majeed Ki In Aayaton Se Aamad e Rasoolallah Salallahu Alaihi Wasallam Par Khushiyan Manana Sabit Hua.

Share your love