Nabiyon Ke Baare Mein Kaisa Aqeeda Rakhna Chahiye?

Jawab:nnAmbiya Sab Mard The Na Koi Aurat Nabi Hui Aur Na Koi Jinn.nnNabiyon Ka Bhejna ALLAH Ta?ala Par Wajib Nahi, Usne Apne Karam Se Logon Ki Hidayat Ke Liye Nabi Bheje.nnNabi Hone Ke Liye Us Par Wahi Hona Zaroori Hai, Yeh Wahi Chahe Farishte Ke Zariye Ho, Ya Bagair Kisi Waste Aur Zariye Ke Ho.nnNabuwwat Aisi Cheez Nahi Ki Aadmi Ibadat, Yaa Mehnat Ke Zariye Hasil Kar Sake.nnBalki Yeh Mehaz ALLAH Ta’ala Ki Dein Hai, Jise Chahta Hai Apne Karam Se Deta Hai.nnNabi Ka Masoom Hona Zaroori Hai, Isi Tarah Masoom Hone Ki Khusoosiyat Farishton Ke Liye Bhi Hai.nnNabiyon Aur Farishton Ke Siwa Koi Masoom Nahi, Kuch Log Imam?o Ko Nabiyon Ki Tarah Masoom Samajhte Hai, Yeh Gumrahi Aur Bad-Deen Hai.nnNabiyon Ke Masoom Hone Ka Matlab Yeh Hai Ki Unki Hifazat Ke Liye ALLAH Ta?ala Ka Wada Hai.nnIsiliye Shari?at Ka Faisala Hai Ki Un Se Gunaah Ka Hona Muhaal Aur Namumkin Hai.nnALLAH Ta?ala Imam?o Aur Badi Waliyon Ko Bhi Gunaaho Se Bachata Hai, Magar Shari?at Ki Roshni Mein Un Se Gunaah Ka Ho Jaana Muhaal Nahi.nnKoi Ummati Ilm, Ibadat Aur Nekiyon Mein Nabi Se Nahi Badh Sakta, Balki Barabar Bhi Nahi Ho Sakta.nnALLAH Ta?ala Ne Nabiyon Par Bandon Ke Liye Jitne Ahkaam Naazil Kiye Woh Sab Unhone Pahucha Diye.nnNabi Apni Qabron Mein Usi Tarah Zinda Hai Jaise Duniya Mein The, ALLAH Ta?ala Ka Wada Pura Hone Ke Liye Ek Aan Ko Unhein Maut Aai Aur Fir Zinda Ho Gaye.nnALLAH Ta?ala Ne Apne Nabiyon Ko Gaib Ki Baatein Batayi Hai, Zameen Aur Aasmaan Ka Har Har Zarra, Har Nabi Ki Nazar Ke Saamne Hai.nnYeh Gaib Ka Ilm ALLAH Ta’ala Ke Ata Farmane Se Hai.nnAmbiya Alaihimussalam Shirk, Kufr Aur Har Aisi Cheez Se Paak Aur Masoom Hai.nnJis Makhlook Ko Nafrat Ho Jaise Jhooth, Khyaanat Aur Jahalat Wagairah Buri Siftein.

Share your love