Islam Mein Sirf Do Hi Eid Hai, To Yeh Teesri Eid Kaha Se Aayi?

Jawab:nnYeh Kehna Ki Islam Mein Sirf Do Hi Eid Hai Sarasar Jahalat Hai.nnHadees e Kareema Se Sabit Hai Ki Jummah Bhi Eid Hai.nnAb Jummah Eid Kyu Hai?nnWoh Bhi Jaan Lijiye.nnHazrat Abdullah ibn Abbas Radi’Allahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam (?) Ne Irshad Farmaya:nn“Beshak Yeh Eid Ka Din Hai Jise ALLAH ? Ne Musalmano Ke Liye (Barkat Wala) Banaya Hai, Pass Jo Koi Jummah Ki Namaz Ke Liye Aaye, Toh Ghusl Karke Aaye Aur Agar Ho Sake Toh Khushbu Laga Kar Aaye Aur Tum Par Miswak Karna Zaroori Hai.”nnIbne Majha, Hissa: 1, Hadees: 1908, Tibrani, Hissa: 7, Hadees: 7355nnHazrat Abu Huraira Radi’Allahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam (?) Ne Irshad Farmaya:nn“Beshak Jummah Ka Din Eid Ka Din Hai, Pass Tum Apne Eid Ke Din Yaum e Siyaam (Roza Ka Din) Mat Banao, Magar Yeh Ki Tum Uske Pehle Ya Uske Baad Ke Din Ka Roza Rakhe.” nnSahih Ibn e Khuzaima, Hadees: 1980, Sahih Ibn e Hibban, Hadees: 3680nnHadees Mein Hai: “Jummah Ka Din Tamam Dino Ka Sardar Hai aur ALLAH ? Ke Yaha Tamam Dino Se Azeem Hai Aur Yeh ALLAH ? Ke Yaha Eid ul Azha Aur Eid ul Fitr Dono Se Afzal Hai.”nnAl-Maujamul Kabeer, Tibrani, Hadees: 4387nnHazrat Aus Bin Aus Radi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam (?) Ne Irshad Farmaya:nn“Tumhare Dino Mein Sabse Afzal Din Jummah Ka Din Hai. Is Din Hazrat Aadam Ki Wiladat Hui, Isi Roz Unki Rooh Qabz Ki Gayi Aur Isi Roz Soor Phunka Jayega. Pass Is Roz Kasrat Se Mujh Par Durood Bheja Karo, Beshak Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.” nnSunan Ibn e Majha, Hadees: 1138, Sunan Abu Dawood, Hadees: 1049, Sunan Nisai, Hadees: 1385nnZikr Ki Gayi Hadees Se Maloom Hua Ki Jummah Ka Din Aadam Alaihis Salam Ki Paidaish Ka Din Hai, Isiliye Yeh Eid Ka Din Hai.nnToh Bhala Jis Din Dono Jahan Ke Sarkar, Dono Jahan Ki Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam (?) Ki Meelad (Paidaish) Ho, Woh Eid Ka Din Kyuñ Na Ho?nnBalki Yeh Toh Eido Ki Eid Hai Ki Hamein Saari Eid Isi Eid Ki Wajah Se Mili Hai.nnIn Hadeeso Se Maloom Hua Ki Musalman Saal Mein Do Eid Nahin Balki Pachhas Se Zyada Eid Manata Hai.nnAlhumdulillah ????????nnIske Alawa Quran Pak Mein Hazrat Isa Alaihis Salam Ki Dua Naql Hai Ki :nn ?????????? ????????? ???????? ????????? ?????????? ????? ??????????? ???????? ????? ??????? ????????????? ?? ????????? ?????nnKanzul Iman Tarjuma:nnAey Hamare Rab Hum Par Aasaman Se Nehmaton Ka Dastarkhwan Nazil Farma Ki Woh Hamare Liye Eid Karar Paaye Aur Woh Teri Taraf Se Nishaani Bane Aur Tu Behtar Rizk Ata Farmane Wala Hai.nnSurah Al-maida, Aayat – 114nnGaur Farmaye! Ki Hazrat Isa Alaihis Salam Dastarkhwan Nazil Hone Ke Din Ko Eid Karar De Rahe Hai.nnAb Aap Khud Faisla Karein Ki Jis Din Fakhre Maujoodat, Duniya Ki Paidaish Ki Paidaish Ka Sabab Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ? Jalwagar Ho.nnToh Woh Din Kyu Na Eid Qarar Paaye?

Share your love