Agar Kisi ilake Mein Sunni Log Rehte Hai par waha jahiliyat faili Ho

Aur Log Maslak e Aala hazrat kise kehte hai ye naa jante ho Deobandiyo Ke aqaid ke bare mein ilm naa rakhte ho aur unhe achcha samjhte ho.

To agar waha par koi jalsa ho aur us jalse ke karane wale log Mukaarrir ko Radd e wahabiya karne se mana kare sirf is niyat se ki ilake ke log jahil hai aur radd e wahabiya karne se wo sunniyo ko bura samjhne lagenge.

To kya hazrat aise mein radd e wahabiya se rokne wala gunahgar to naa hoga?

Jawab:

Aaj ke zamaane mein kuch Muqarrireen ne gaali galoch ko radd samajh liya hai aur awam bhi radd ka yahi matlab samajhti hai,

Halaanke Aqaaid e Ahl e Sunnat ko Ahadees o Quran ki roshni mein saabit karna aur wahabiyo ke aqaaid e baatila ko Quran o Hadees ki raushni mein Baatil thehrana hi asl Radd hai, aur is tarah ka radd kiya jaayein.

To koi bhola bhala bhi mutanaffir na hoga, balke haq ko tasleem karega agar use Maanna ho.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love