Dadhi Kitne Bhari Honi Chahiye Aur Dadhi Kya Khaskhasi Rakhi Ja Sakti Hai?

Jawab:nnDaarhi Mundaana Haraam Hai.nDurr E Mukhtar Me Hai.nn?Mard Ko Daarhi Mundana Haraam Hai?nnFath Ul Qadeer, Durr E Mukhtar, Raddul Mohtaar, Bahr Raayeq, Tahtawi Me Hai.nn?Darhi Jab Ek Musht Se Kam Ho To Uska Kaatna Jis Tarah Kuch Magribi Aur Zanaane Zankhe Karte Hain Kisi Ke Nazdeek Jayez Nahi Aur Poori Darhi Ka Safaaya Karna Ye Kaam To Hindustaan Yahudio Aur Iran Ke Majoosio Ka Hai.nAala Hadrat Imam Ahmad Raza Fazil E Bareilwi Quddisa Sirruh Ul Azeez Farmaate Hai.nn?Daarhi Katraana Mundaana Haraam Hai?.n(Fatwa Razvia)nHuzoor Sadrussharia Farmate Hai.nn?Darhi Barhana Sunan E Ambiya E Saabiqeen Se Hai Mundaana Ya Ek Musht Se Kam Rakhna Haraam Hai?.n(Bahar E Shariat)nnHazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehiwi Alaihir Rahmah Farmate Hai.nn?Darhi Mundana Haraam Hai, Angrezo, Hinduwo, Aur Qalandario Ka Tareeqa Hai Aur Darhi Ko Ek Musht Tak Chhor Dena Wajib Hai Aur Jin Foqaha Ne Ek Musht Darhi Rakhne Ko Sunnat Qarar Diya (To Is Waja Se Nahi Ke Unke Nazdeek Wajib Nahi. Balke Is Waja Se Ke Ya) To Sunnat Se Muraad Chaalu Rasta Hai.nnYa Is Waja Se Ke Ek Musht Ka Wujoob Hadees Shareef Se Saabit Hai. (Yaani Hadees E Rasool Ko Bhi Sunnat E Rasool Kaha Jaata Hai).nn??????????????nKhalifa E Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love