Jawab:
Hadees- Ummul Moominin Siddikaa Razi Allahu Talaa Anhaa Farmati Hain Ki Jo Tum Se Kahe Ki Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Khade Hokar Peshab Farmate Use Sachcha Na Janna, Huzoor Peshab Na Faramate The Magar Baith Kar!
Tirmizi Sharif
Hadees- Amirul Moominin Farooq e Azam Razi Allahu Talaa Anhu Rivaayat Karte Hai.
Rasulullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mujhe Khade Hokar Peshab Karte Dekha Farmaya- Aye Umar!
Khade Hokar Peshab Na Karo, Us Din Se Maine Kabhi Khade HoKar Peshab Na Kiya!
Baihaqi Sharif
Hadees- Rasulullaah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khade Hoker Peshab Karne Se Mana farmaya!
Ibne Maajah
Hadees- Teen Baatein Jafaa Wa Be-Adbi Se Hain!
1- Yah Ki Aadmi Khade Ho Kar Peshab Karein!
2- Yah Ki Namaz Mein Apni Peshani Se (Mitti Ya Pasina) Ponchhe!
3- Yah Ki Sajda Karte Waqt Phooke!
Musanad Bajjaar
In Ahadees Se Malum Hua Ki Khade Hokar Peshab Karna Ilshaadaate Rasul Ki Khilaaf Warji Aur Hukme Shara Se Muh Modnaa Hai!
FATAWA RAZVIYA, Jild 2, Safa 146-147
Peshab Ke Chhinte
Quam-E-Bani israil Mein Peshab Ke Ehkaam Bade Sakht The! Us Qaum Mein Agar Jism Ke Kisi Hisse Par Peshab Ke Chhinte Lagte To Jism Ki Utni Chamadi Kaat Kar Nikaal Di Jaati Thi!
Allaahu Akbar
Hadees Sharif Mein Hai Ki Qabr Mein Aksar Azaab Peshab Ke Chhinton Se Nahi Bachne Ke Karan Hota Hai!
Wo Bhai Bahan Is Masail Se Ibarat Le Jo Istinjaa Khane Mein Aur Digar Makamat Mein Peshab Ke Chhinton Se Nahi Bachte!
Khaaskar Hamare Navjavan Jo Bade Hi Chust Kapade Pahante Hai Aur Istinja Ke Waqt Khade-Khade Faarig Ho Jaate Hai!