Qayamat Ki Kuch Nishaniya Bayan Kijiye?

Jawab:

Jab Duniya Mein Gunaah Zyada Hone Lage.

Haraam Kamo Ko Log Khullam Khullaa Karne Lagein, Maa Baap Ko Taklife De, Aur Gairo Se Mel Jol Rakhein, Amaanat Mein Khayanat Karein, Zakat Dena Logo Par Giraan Guzrein.

Duniya Hasil Karne Ke Liye Ilm-E-Deen Parha Jayein.

Naach Gaane Ka Ravaaj Jyada Ho Jayein.

Badkaar Log Kaum Ke Peshwa Aur Leader Ho Jaayein.

Charvaahe Wagairah Kam Darje Ke Log Badi Badi Buildingo Aur Kothiyo Mein Rehne Lage.

To Samajh Lo Ki Qaiyamat Kareeb Aa Gayi Hai.

Anware Shariat Hindi P15

Share your love