Us par ailaniya Touba lazim hai agar Sirri touba karein to kya huqm hai?
Aur Tajdeed-e-nikaah ke liye agar 2 Gawaah na Rakhe to kya Nikaah ho jayega Aur kya 2 gawaah wajib hai?
Maine Suna hai ki Talaq-e-Bayan ke Baad Jo nikaah Hota hai us mein 2 gawaah Rakhna mustahab hai ye kitna sahi hai?
Jabki quran-e-kareem ki Surah Talaq mein 2 gawaaho ka huqm aaya hai.
Jawab:
Agar waaqai us shakhs ne kisi Badmazhab jis ki Badmazhabi hadd e kufr ko pahoch chuki ho us ki Namaz e Janaza jaan boojh kar parhaayi hai.
To Us shakhs par Elaaniya Tauba O Tajdeed e iman o Tajdeed e Nikah Zaruri hai.
Tajdeed e Nikah ke liye 2 Gawaah aur Naye Maher ka bhi hona zaruri hai.
Talaq e Baain se Bhi Aurat Nikah mein Nahi rehti. Aur Har wo surat jis se Nikah toot jaayein to Naye Nikah ke liye Naya Maher bhi lazim hai aur Gawah bhi zaruri hain.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi