Magar Us Tehrik Ke Alim Se Kuch Galtiya (Kufar) Ho Jayein. Jisse Tehrik Par Kufr Ka Fatwa Lag Jayein.
Magar Tehrik Ke Jo Follower Hai Unka Tehrik Ke Alim Ki Galtiyo Se Koi Connection Naho.
To Kufr Ka Fatwa Sirf Tehrik Ke Aalim Per Lagega Ya Uske Follower Per Bhi?
Ek Tabligi Ka Ye Sawal Hai?
Jawab:
Tableegi Jamat Haq Par Nahin.
Ye Jamat Deobandi Mazhab Phailaane Ke Liye Qaim Ki Gayi Hai Aur Ye Jamat Din O Raat Khoob Zor O Shor Se Deobandi Mazhab Phaila Rahi Hai.
Is Jamat Ka Baani O Ameer Kubra E Wahabiya (Qasim Nanotwi, Rasheed Ahmad Gangohi, Khaleel Ahmad Ambethwi, Ashraf Ali Thanwi) Ko Sirf Musalman Hi Nahin.
Balkeh Musalman Ka Peshwa Aur Wali Maante Hain Aur Jo In Kubra E Wahabiyyah Ko Peshwa Mane Ya Kam Az Kam Musalman Jaane Woh Khud Kaafir O Murtad Hai.
Balkeh Jo In Kubra E Wahabiyah Ke Kufr O Azab Mein Shak Karein Woh Bhi Kaafir Hai.
Jo Sunni Tableegi Jamat Mein Shamil Hua Agar Use Tableegi Jamat Aur Uske Ameer Ke Kufriyaat Maloom Hain.
Phir Bhi Use Musalmaano Ki Jamat Samjhein Aur Uske Ameer Ko Musalam Samjhein To Be Shak Uspe Bhi Hukm Kufr Hai.
Aur Agar Maloom Nahin Hai Aur Us Jamat Ko Musalman Ki Jamat Aur Uske Ameer Ko Musalman Samjha.
To Uspe Hukm Kufr Nahin Magar Gumraah Zaroor Hai.
Tableegi Jamat Ki Tafseel Allama Arshadul Qadri Ki Kitab Tableegi Jamat Ka Mutala Karein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi