Jaisa Ke Example 10 Log Mil Kar 1000rs Ek Ke Paas Jama Karte Hai.
Phir 10 Logo Ki Naam Ki Chitti Banayi Gayi.
Phir Usme Se Ek Chitti Utha Kar Naam Dek Kar Usko Pure 10,000 De Diye.
Ye Har Mahine Aisi Hi Chalta Raha Pure 10 Mahine.
IsMe Logo Ko Faida Bhi Hota Hai.
Inko Ek Khatta Paisa Mil Jata Hai.
Unka Koi Bhi Kaam Nikal Jata Hai.
Chitti Mein Aaye Hue Shakhs Ko Paiso Ki Zarurat Naho To Wo Kisi Or Ko De Deta Hai.
Unme Se Ek Ko Jisko Zyada Zaurat Hai Paiso Ki To Aisi Log Lakho Ki Bhi Bissi Chalate Hai.
To IsMe Sharai Hukum Kya Hoga.
Kya Aisa Kar Sakte Hai?
Jawab:
Agar Beesi Aisi Hai Ke UsMe Jitni Raqm Lagaayi Jaayein Wo Puri Milti Hai.
Koi Nuqsan Nahi Hota To Jaayez Hai.
Aur Agar Kam Ya Zyada Paise Dene Padein To Jaayez Nahi.
Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi