Kya Islam Me Life and Medical Insurance le sakte hai?

1. LIC ki life insurance ley sakte hainn2. Medical Insurance ley sakte hainn3. Income tax bachane ki niyat se le sakte hainnnJawab:nnJo Beema Company Government ki ya Gair Muslimo ki hai, unki Aisi scheme me Raqm lagaana jinme Musalman ke Nuqsan ka Andesha na ho Jaayez hai.nnAur jo zaayed Raqam Hasil ho wo bhi jaayez o Mubaah hai, kyu ke yahan ke kaafir Harbi hain, aur Harbi aur Musalman ke darmiyan sood nahi hai.nnJaisa ke Hadees shareef me hai.nn”?? ???? ??? ?????? ??????? ?? ??? ?????”nnLehaza gair Muslim beema company jo Asl Raqam par izaafa karke de, wo sood nahi, iska lena bilaa karahat jaayez hai.nnMediclaim policy me Mediclaim karaane waale ke Nuqsan ka andesha hai.nnKyu ke jitni muddat ke liye mediclaim karaya hai, agar us muddat me wo marz na hua to puri raqam zabt ho jati hai.nnIsliye bila zarurat mediclaim ki policy lene ki ijazat nahi.nnLife insurance (jeewan beema) us shaks ko karaana jaayez hai. Jo 3 saal tak uski qistein ada karne ki isteta’at rakhta ho.nnKyu ke life insurence ke sharaayet se hai ke agar 3 saal tak qisten nahi bhari gayi, to jama shuda raqm bhi wapis nahi ki jaayegi aur is me Musalman ka nuqsan hai.nnLehaza ye policy wahi le jo 3 saal tak premium bharne ki qudrat rakhta ho.nnAlahazrat imam e Ahle Sunnat Sayyedna Imam Ahmad Raza Fazil e Bareilwi Quddisa Sirruhul Azeez beema ke jawaz ke baare me irshad farmate hain.nn“Jab ke ye beema sirf governmnt karti hai aur us me apne nuqsan ki koi surat nahi to jaayez hai, koi harj nahi magar shart ye hai ke uske sabab uske zimme kisi khilaaf e shara ehtiyaat ki pabandi na aayed hoti ho jaise Rozon ya Hajj ki Mumaana’t”.nn(Ahkam e Shariat 2/182)nnLehaza beema company agar gair muslim ki hai, to wo jo zaayed raqam ada karegi wo jaayez hogi uska istemaal kar sakte hain.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love