Hazrat market mein kuch maal saste daam par mil raha ho jiske bare yeh pata ho ke yeh maal chori ka hai to use lena kaisa.

1) Maal direct chori kiya hua ho?

2) Maal khareed kat kiya, par uske paise dene ki niyyat naho (kha jaane ka iraade se liya) Bechne ki soorat…

a) Maal bechne wala khud chor ho, tab?

b) Maal bechne wala chori maal khareed kar kuch munafa rakh kar bech raha ho, tab?

Jawab:

Pehli surat chori ki hai jab ke dosri surat Gasab ki hai aur Agar ye Chori o Gasab Kisi Musalman ke Maal se Hua hai to uska Khareedna o Bechna Dono Na jaayez hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love