To Zaid Ke Yaha Dawat Ka Khana Khana Kaisa Hai.nnAgarche Malum Ho Or Zaid Ka Apne Ghar Per Milad Karna Or Uski Shirni Ka Kiya Hukm Hai.nnANSWERnnKisi Shaks Ke Makaan Pe Khaane Ka Mauqa Ho Aur Uska Zariya E Aamdani Halal Bhi Ho Aur Haraam Bhi To Aisi Surat Me Uski Kamaai Ke Gaalib Hisse Ka Etebaar Hoga.nnnAgar Uski Aamdani Ke Zariye Ka Aksar Hissa Halaal Ho To Uska Khana Durust Hai.nnnHaan! Yaqini Taur Par Ma?loom Ho Ke Jo Kuch Laaya Gaya Hai Iske Liye Haraam Kamaayi Ki Raqam Hi Istemaal Ki Gayi Hai To Khana Jayez Nahi Hai.nnnIsi Tarah Uski Amdani Ka Aksar Hissa Haraam Zariye Hasil Hua Ho To Khana Jayez Nahi.nnnMagar Ye Ke Saahib E Khaana Saraahat Kar De Ke Us Ne Halal Amdani Ka Khana Tayyar Kiya Hai. Tab Khaane Me Koi HarjnNahi.nnnLehaza Jiski Amdani Poore Taur Par Haraam Hai. To Uske Yahan Khana Najaayez O Haraam Hai.nnnMagar Ye Ke Wo Khud Wizaahat Karde Ke Maine Ye Khana Jayez Halaal Amdani Wale Bhai Ki Kamaai Se Mangwaaya Hai.nWa-Allahu Ta?ala A?lamnnn??????????????nKhalifa E Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????