Ek Shakhs Ka Kapde Ka Karobar Hai.

Wo Karobar Misal Ke Tor Par Cash Mein 50rs Aur Udhar Mein Taishuda Muddat Par 80rs Mein Bechta Hai.

Agar Udhar Payment Mein Jyada Deri Ki Surat Mein Khariddar Ko Extra Raqam Percentage Aur Din Ke Hisab Se Deni Padti Hai.

Jo Pehle Se Sab Ko Pata Hoto Hai.

Bechne Wale Apna 80rs Alag Rakh Leta Hai Aur Extra Raqam Alag Rakh Ke Aakhir Saal Usko Bina Sawab Ki Niyat Se Khairat Karta Hai.

Ab Sawal Ye Hai Ki.

1. Aisa Karobar Karna Kaisa?

2. Kya Karobar Se Milne Wala Nafa Jayez Hai.

3. Kya Gair Muslim Jo Extra Dete Hai Usko Bhi Sadqa Karna Padega.

Note: Extra Raqam Lene Ki Wajah Market Rule Hai. Dukandar Kisi Dusre Se Kharidenge To Yahi Chiz Dukandar Ke Sath Hogi Aur Agar Extra Raqam Lene Se Mana Karde To Payment Dukandar Ko Waqt Par Nahi Milega.

Jawab:

Ye Surat Sood Ki Hai Ke Udhaar Mein Jitne Din Barhte Jaayein Raqam Barhti Jaaye.

Agar Musalman Se Len Den Hai, To Haraam Hai.

Aur Kafir Ko Zaayed Raqm Dena Bhi Na Jaayez Hai.

Jab Ke Kafir Se Zaayed Raqm Begair Gadr O Bad Ahdi Ke Lena Jaayez Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love