Panch Waqto mein Nahana Sunnat Hai.
1) Jumuah,
2) Eid,
3) Bakra-Eid,
4) Youm E Arfat Ke Din,
5) Ehram Baandhte Waqt. In Sab ke liye Nahana Mustahab Hai.
1) Maidan e Arfaat Mein Thahar ne ke waqt.
2) Muzdalifa mein Thahar ne ke waqt.
3) Haram Sharif ke Haazri ke Liye.
4) Huzoor Sallallahu Alahi Wassallam ke Roze par Haazri ke Liye.
5) Tawaf ke waqt.
6) Mina mein dakhil hone ke liye.
7) Jamro ko Kankariyaan Maarne ke liye (teeno din).
8) Shab e barat mein.
9) Shab e Qadr mein.
10) Arfe ki Raat mein.
11) Milad Sharif ki Majlis ke Liye.
12) Dusri Nek Majliso mein haazri ke liye.
13) Murda Nahlaane ke Baad.
14) Paagal ke paagal pan jaane ke baad.
15) Be-Hoshi Se Fayde ke baad.
16) Nasha jaate Rahne ke baad.
17) Gunah se Tauba karne ke liye.
18) Naya Kapda pahenne ke liye.
19) Safar se Aane waale ke Liye.
20) Istehaaza ka khoon band hone ke baad.
21) Namaz e Kusuf.
22) Namaz e Khusuf.
23) Namaz e Istisqa.
24) Namaz e Khauf
25) Nadheri
26) Sakht Aandhi ke liye
27) Aur Agar Badan par najasat Lagi aur yah Pata Na Chal saka ki najasat kis jagah hai. To in Tamaam Surato mein Nahana Mustahab Hai.
Bahare shari’at Hissa 2 Safa 36
Khalifa-e-huzoor Tajushsharia
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razavi Amjadi