To kya namaz huyi ya dohrana padhega. Woh paak raha, ya napak ho gaya?
Jawab:
Khade ho kar peshab karna mamnoo hai aur agar aisi jagah khade ho kar peshab kiya jahan se chheente aane ka andesha hai to, Gunah hai.
Lehaza Agar khade ho kar kisi ne peshab kiya aur uski chheente kapde par agar bahot bareek sui ke nok ke barabar ho, to harj nahi aur agar aisi peshab ki bunde hain ke jinka majmua ek dirham ke barabar ho jaayein.
To kapda napaak aur napaak kapre mein Namaz bhi na hogi.
Use chahiye ke wo Kapde Aur badan paak karke phir Namaz ada karein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi