Kya Ghusl E janabat mein tayammum kar sakhte hai

Agar bahot tez sardi hai, pani se ghusl karne mein sardi aur badne ka andesha hai? Lekin wazu garm pani se kar le rahe hai, magar Ghusl Nahi aur joh wazu ke liye tayammum ka tarika hai wahi Ghusl ka bhi hai?

Agar tayammum kar sakhte hai, toh jahan najasat laga ho jism main woh tayammum se paak hojayega ya kuch aur tareeka hai?

Rahnumai farmaye. Jazakallahuta’ala

Jawab:

Jab garam pani mayassar hai aur usse ghusl mein bimari barhne ka andesha qawi nahi.

To Ghusl karna farz hai, tayammum kaafi na hoga.

Reh gayi baat agar ghusl par waaqai qudrat nahi, to tayammum uske qaayem maqaam hai.

Magar usse pehle nijasat se badan ko paak karna zaruri hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love