Hamare Yaha Tez Baarish Horahi Hai

Hum Jab Ghar Se Masjid Jate Hai Namaz Ke Liye. Us Waqt Raste Mein Yaani Sadakh Par Pani Jama Hota Hai.

Ab Wo Pani Mein Takhne Doob Jate Hai.

Agar Wazu Ki Halat Mein Hoto, Kya Is Pani Ke Lagne Ke Baad Phir Wazu Karna Hoga.

Kyunki Ye Khayal Bhi Aata Hai Ki Us Pani Mein Drainage Ka Pani Bhi Hoga Shayad.

To Ab Kya Hukum Hoga.

Jawab:

Agar Pani Thahar Gaya Aur Usme Nijasat Dikh Rahi Hai.

To Agar Paani Ka Phailaao 100 Hath Mein Hai, To Paani Ke Napaaki Ka Hukm Nahin Hoga, Aur 100 Haath Ke Phailaao Se Kam Hai.

To Pani Napaak Hai Aur Agar Pani Bah Raha Hai Aur Usme Nijasat Bhi Bah Rahi Hai.

To Woh Paani Napaak Nahin Aur Woh Bahta Pani Kapde, Ya Badan Pe Lag Jaayein.

To Kapda O Badan Napaak Nahi Hoga.

Haan! Agar Us Bahte Pani Se Jism O Kapde Ka Hissa Bhiga Aur Jism O Kapde Pe Nijasat Lag Gayi.

To Ab Jism O Kapde Ka Utna Hissa Napaak Ho Gaya.

Jitne Pe Nijasat Lagi Hai Aur Agar Nijasat Ki Wajah Se Pani Ka Rang, Ya Boo, Ya Maza Badal Gaya.

To Ab Woh Bahta Pani Bhi Napaak Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love