Wazu mein dhadi kaise dhoye?

Jawab:

Dhadi ke Baal Agar Ghane Na Ho, To Chamde Ka Dhona Farz Hai.

Aur Agar Ghane ho to gale ki Taraf dabaane se jis Qadr chehre Ke ghere mein Aaye Unka Dhona Farz hai.

Aur jadoo ka dhona farz nahi. Aur Jo halke se neeche ho unka dhona jaruri nahi.

Aur Agar kuch Hisse mein ghane ho Aur kuch cheedre ho.

To jahaan Ghane ho to waha baal Aur jahaan cheedre ho us jagah jild (Khaal) ka dhona farz hai.

Labo ka hissa jo Aadat mein labh band karne ke baad jaahir Rahta hai, uska dhona farz hai.

Agar Koyi Khoob joor se labh band karle ki usme ka kuch hissa chup gaya ki us par pani na pahuncha na kulli ki, ki dhul jaata to wazu na huwa.

Haa wah hissa jo Aam Taur par Aadat mein muh band karne se jaahir nahi hota, uska dhona farz hai.

Bahar-e-ShariAt Hissa 02 Safa 13

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love