Jabke Napak Pani Ke Kuch Chinthe Bhi Kapde Pe Lag Jate Hai. Dhote Waqt Jo Paak Hai Kapde Ka Kya Hukum Hoga Or Jism Ka Kya Hoga.
Jawab:
Napak Kapde Dhone Se Ghusl Farz Nahi.
Magar Napak Kapde Ke Chhinte Badan Ya Kapde Pe Pade Ho.
To Jitne Hisse Pe Pade Utna Hissa Napaak Hua Aur Agar Un Chhinto Ka Majmooa Dirham Se Zaaid Ho Jaayein.
To Bagair Paak Kiye Namaz Nahi Hogi.
Badan Ya Kapde Ke Jitne Hisse Pe Pade Ho Utne Hisse Ko Dho Le.
Woh Hissa Paak Ho Jaayega Aur Ab Namaz Bhi Ho Jayegi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi