Tab Use Apne Ala E Tanasul Par Tari Nazar Ati Hai. Wo Tari Asal Mein Kya Hai Use Maloom Nahi.
Haa Use Ye Lagta Hai Ki Shayad Ye Ala E Tanasul Ke Andar Ke Hisse Mein Jo Pani Hota Hai Wo Bahar Aata Hoga.
To Kya Ye Chiz Napak Hogi Aur Us Chiz Ka Kapde Par Lagne Ka Koi Rang, Ya Asar Mehsoos Nahi Hota Hai.
Haa Use Shak Hota Hai Ki Shayad Wo Chiz Lagi Ho Sakti Hai, Shayad Na Bhi Lagi Ho.
Lekin Ehtiyatan Zaid Us Kapde Ko Dho Kar Paak Kar Leta Hai.
Ab Agar Kabhi Usne Us Kapde Ko Paak Na Kiya, To Kya Wo Kapda Napaak Keh Layega?
Jawab:
Aala E Tanasul Se Nikalne Wali Tari NaPaak O Naaqiz E Wazu Hai.
Lihaza Agar Wazu Ke Baad Tari Nikli Wazu Toot Gaya.
Aur Agar Kapde, Ya Badan Par Dirham Se Zaaid Lag Jaaye.nnTo Paak Kiye Bagair Namaz Nahi Hogi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi