Bimar Lait Kar Namaz Padh Raha Tha

Aur Agar Nind Aagayi To Wazu Par Kya Hukm Hai?

Jawab:

Wazu Toot Jayega.

Wazu Toodne Waali Cheejo Ka Bayan.

Garm Tandoor Ke Kinaare Paav Latkaaye Baith Kar So Gaya, To Wazu Karlena Munasib Hai.

Bimar Late Kar Namaz Padh Raha Tha.

Agar Nind Aagayi To Wazu Toot Jayega.

Unghane, Ya Baithe-Baithe Zhooke Lene Se Wazu Nahi Jata.

Namaz Wagairah Ke Intezar Mein Kabhi-Kabhi Nind Aa Jati Hai Aur Naazi Nind Ko Door Karna Chahta Hai.

To Kabhi Aisa Gaafil Ho Jata Hai Ki Us Waqt Jo Baatein Huyi Unki Use Bilkul Khabar Nahi.

Balki 2/3 Awaazo Mein Uski Aankh Khuli Aur Apne Khayal Mein Wah Yah Samajta Hai Ki Soya Na Tha.

To Uske Is Khayal Ka Ehtibaar Nahi.

Agar Koi Mohtabar Admi Kahein Ki Tu Gaafil Tha.

Yaha Tak Ki Tu Aisa Gaafil Tha Ki Tujhe Pukaara Gaya Lekin Tune Jawab Nahi Diya, Ya Baatein Punchi Jayein Aur Wah Bata Na Sakein.

To Us Par Wazu Laazim Hai.

Bahar-E-SahariAt Dusra Hissa Safa 24,25

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love