Balgam Ki Kai Agar zyada Aayi To Usse Wazu Par Kya Hukm Hai?

Jawab:

Wazu Nahi Tootega.

Wazu Todne Wali Cheezo Ka Bayan.

Khoon, Paani, Khaana, Ya Peet Ki Muh Bhar Kai Ho, To Usse Wazu Toot Jata Hai.

Muh Bhar Kar Kai Ka Matlab Yah Hai Ki Uska Aasani Se Rukna Mushakil Ho.

Balgam Ki Kai Agar zyada Bhi Ho, To Usse Wazu Nahi Tootega.

Agar Khoon Se Thuk zyada Naho, To Bahte Khoon Ki Kai Se Wazu Toot Jata Hai.

Aur Jama Huwa Khoon Hai, To Wazu Nahi Jayega Jab Tak Muh Bhar Kar Naho.

Kai Mein Sirf Keede, Ya Saanp Nikle To Wazu Nahi Totega Aur Agar Uske Saath Kuch Paani Bhi Hai.

To Dekha Jayega Ki Ratubat, Ya Pani, Ya Pani Muh Bhar Hai Ya Nahi.

Agar Muh Bhar Hai, To Wazu Toot Jayega Warna Nahi.

Bahar-E-ShariAt Dusra Hissa Safa 23,24

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love