Tahiyatul wazu ki fazilat

Tahiyatul wazu: Wazu Karne ke baad Aaza E Khushq hone se pahle 2 Rakat Namaz padhna Mustahab hai.

Sahi Muslim me hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya jo Shakhs wazu karein Aur achcha wazu karein Aur zaahir wa baatin ke saath Mutawajje ho kar 2 Rakat padhein uske liye jannat wajib ho jaati hai.

Mas’Ala: Ghusl ke Baad bhi 2 Rakat Namaz Mustahab hai.

Wazu ke baad Farz wagairah padhein to Tahiyatul wazu ki jagah ho jaayegi.

(Raddul Muhtaar)

Namaz E Ishraq Ki Fazilat

Tirmizi Anas Radiallau Ta’Ala Anhu Se Raavi ki Farmate hai.

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jo Fajr ki Namaz Jamat se padh kar Zikr e khuda karta raha, yahaan tak ki Aftaab baland ho gaya phir 2 Rakat padhein, to use pure hajj wa Umrah ka Sawab milega.

Bahar-e-sahari’At Hissa 4 safa 2

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love