Jo Adami Ba-Wazu (Wazu Se Tha) Ab Use Shaq Hai ki Wazu Hai Ya Toot Gaya.

Aur Jab Ki Yah Shaq Waswase Ke Taur Par Na Huwa Karta Ho. Tab Aise Waqt Mein Kya Karna Chahiye?

Jawab:

Agar Wazu Ke Darmiyaan Kisi Ujwa Ke Darmiyaan Kisi Uzwa ke Dhoone mein Shaq Ho jaayein.

Aur Yah Zindagi ka Pahla Waakiya ho To Usko Dhoole.

Aur Agar Aksar Shak Padta Hai to Uski Taraf Tawajjo Na Karein.

Aise Hi Agar Wazu ke baad Shak ho to Uska Kuch Khayaal Na Karein.

Jo Adami Ba-Wazu (Wazu Se Tha) Ab Use Shak Hai ki Wazu Hai Yaa Toot Gaya To Wazu Ki Use Jarurat Nahi.

Haan Kar Lena Behtar Hai.

Jabki Yah Shak Waswase ke Taur par Na Huwa Karta Ho Aur Agar Waswasa Hai To Use Hargiz Na Maane.

Is Surat mein Ehtiyaat Samajh kar Ehtiyaat Karna Ehtiyaat Nahi Balki Shaitaan Ki Ita’At Hai.

Aur Agar Be-Wazu (Bagair Wazu) Tha.

Ab Use Shak Hai ki Main ne Wazu Kiya Ya Nahi.

To Wah Bila Wazu Hai Usko Wazu Karna Jaruri Hai.

Bahar-E-ShariAt Safa Dusra Hissa Safa 26

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love