Unlogo Ko Meri Taraf Bhejdena Aur Kehna Hawala (Reference) Unse Lelo!nnZimmedari Aapki Nahi Zimmedari Meri Hai Aur Meri Zimmedari Par Garaj Ke Duniya Ko Batate Firo!nnKya?nnYe Sunne Waali Baat Hai, Ummul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Ta?ala Anha Ghar Baithi Hain.nnWalid-E-Girami Sayyeduna Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Ta?ala Anhu Paas Baithe Hain.nnUmmul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Puchti Hain: ?Ya Abat! Inni Ara? Yu Kassiru Kann Nazra Ila Wajhe Aliyyun??nnAbbajaan! Mai Hamesha Dekhti Hun, Jab Kabhi Aap Majlis Me Ikatthe Baithe Hon, To Aap Tik Taki Baandh Kar Hazrat Ali Ka Chehra He Takte Rehte Hain Iski Wajah Kya Hai?nnYe Baat Gharke Andar Horahi Hai, Aur Khud Bahar Saare Jahan Ko Bata Diya!nnnSayyeduna Siddiq-E-Akbar RadiAllahu Anhu Jawab Dete Hain: Beta, ?Wallazi Nafsi Beyadihi?, Us Rab Ki Kasam Jiske Kabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hai.nn?Samne Tu RasoolAllahi SallAllahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ya Qool,nn?AN NAZRU ILA WAJHE ALIYYUN IBADATUN?nnFarmaya Beti Aaisha Maine Rasool-E-Pak SallAllahu Alaihi Wa Aalihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Zuban-E-Pak Se Suna, Aapne Farmaya:n?ALI KE CHEHRE KO TAKNA BHI IBADAT HAI.”nnAgar Kisiko Door Se Dekhne Ka Mauka Mile Aur Maula Ali Sher-E-Khuda Doorse Kahi Jaarahe Hon Aur Unke Chehre Pe Nazar Na Pad Sake, To Uska Kya Hoga, Usko Ye Sa?aadat Milegi Ya Nahi Milegi?nnAllah Ki Izzat Ki Qasam! Hazrat Aaisha Siddiqa Ki Dusri Riwayat Hai. Hadees Ki Dusri Kitab Me Farmati Hain: Haan Jo Ali Sher-E-Khuda Ka Chehra-E-Pak Na Dekh Sake, Usko Bhi Sunlo, Farmaya Huzoor Ne Ye Bhi Farmaya:nn?AN NAZRU ILA ALIYYUN IBADATUN?nnChehra To Na Tak Sake, Jidhar Ali Jaarahe Hon, Bus Unko Jaate Hue Taklena (Dekhlena) Bhi Ibadat Hai!!nnJisne Chehra Dekhliya Ibadat Karli, Jisne Ali Ki Pusht Dekhli Ibadat Karli!nnAb Aapke Liye Puchraha Hun, Ek Teesra Sawal Kiya Maine Ummul Momineen Se Ke Wo To Sharaf Unlogo Ko Tha Jo Us Zamane Me The.nnAur Hum Jo Aaj Hain Na Zahiran Chehra-E-Pak Tak Sakte Hain Na Pusht Mubarak Dekh Sakte Hain.nnZahiran Nahi Dekhsakte. To Hum Bhi To Baithe Hain Hame Bhi Koi Milega Ke Nahi Us Bargah Se Khayrat?nnHazrat Aaisha Siddiqa Ki Teesri Riwayat Hai, Teesre Muqaam Par Farmati Hain: Haan Tumhe Bhi Ajr Milega! Kyunki Huzoor Ne Ye Bhi Farmaya:nn?ZIKRU ALIYYUN IBADATUN?*nnKhuda Ki Qasam Jo Ali Ko Dekh Na Sake Sirf ALI KA ZIKR Karle Ye Bhi Ibadat Hai!nnAli Ka Zikr Karna Ibadat Hai, Arey Muhibban-E-Ali, Ali Ka Zikr Karna Ibadat Hai, Isliye Aao Thodi Der Milkar Ibadat Kare Khuda Ki, Kaho ALI ALI.?nn(SallAllahu Alaihi Wa Ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Baarak Wa Sallam, KarramAllahu Wajhahul Kareem,nRidwanullahi Ta?ala Alaihim Ajmaeen)nnShaykh-Ul-Islam Dr. Tahir-Ul-QadrinnBeshak Hazrate Ali Karmullah Wajhul Kareem Hi Azeem Shakhsiyat Hi.nnMufti Sahab Riwayat Ek Baar Padhkar Rehnumai Karde?nnKye Dr TAHIRUL QADRI K Refrence Say Hi.nnANSWERnnJo Puri Riwayat Bayan Ki Gayi Wo Mere Ilm Me To Nahi Haan Al Mustadrak Ki Riwayat Me Ye Zikr Hai Ke ?Ali Ko Dekhna Ibadat Hai? Yahan Ibadat Sawaab Ke Ma?na Me Hai.nnMagar Is Se Ye Jumla Kehna Ke Aao Ibadat Karein Khuda Ki Kaho Ali Ali, Bahot Sakht Jumla Maloom Hota Hai.nnAur Khusoosan Tahirul Kadri Jis Par Hamare Ulama Ne Kufr Ka Fatwa Saadir Kiya Hai.nnUs Ki Baato Tareero Bayanaat Ko Sunne Parhne Se Parhez Karein Aur Apne Iman Ki Hifazat Karein.nn??????????????nKhalifa E Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????