Hazrat Baag-E-Fidak Mangne Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Beti

Hazrat Abu Bakar Siddik RadiAllahu Ta’ala anhu Ke Adalat Mein Gayi. Toh Unhe Haq Kyu Na Mila.

Agar Beti Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 4 Hai.

To Haq Mangne Ek Hi Kyu Gaye?

Agar Beti Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 4 Hai.

To Kisi Aur Beti Ke Bachche Kyu Nana Ke Godh Mein Nahi Khele?

Agar Beti Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 4 Hai.

To Kisi Aur Beti Ke Bachche Karbala Mein Nana Ki Shariyat Bachane Kyu Na Pohoche?

Jawab:

Ye Rafizio Ki Mann Ghadat Riwayat Hai Ke Hazrat Fatimatuz Zahra RadiAllahu Ta’ala anhu Hazrat Abu Bakr RadiAllahu Ta’ala anhu Ke Paas Baag E Fidak Ka Mutaalba Karne Gayin Aur Aapne Na Di.

Balke Ahadees Se Sabit Hai Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyeda Ko Baag E Fidak Na Diya.

Tafseel Ke Liye Fatawa Faizur Rasool Jild 1 Safah 91 Ka Mutaala Karein.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Aur Sahebzadiyo Se Jo Aulad Hui Un Ka Inteqal Bachpan Mein Ho Gaya.

Yaani Aur Kisi Sahebzadi Se Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Nawase Itni Umr Ko Na Pohche Jo Godh Mein Khelte.

Aur Isi Tarah Waqia E Karbala Ke Waqt Bhi Koi Maujood Na The.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love