Soodkhor Ka Azab Ke Baare Me Shariyat Me Aur Hadeese Mubaraka Me Jo Sakhti Aur Azab Bataye Gaye Hai.

Use Baraye Meharbani Tafseer Me Inayat FarmayennANSWERnnSood Ki Hurmat Qur?an O Hadees Se Waazeh Taur Par Saabit Hai.nnnAllah Tabarak Wa Ta?ala Ne Irshad Farmayannn

????????? ??????? ????????? ????????? ??????????? ?

nnAur Allah Ne Halal Kiya Baie? Ko Aur Haraam Kiya Sood.nn(Surah Al Baqarah)nnJab Sood Ki Hurmat Ka Hukm Naazil Hua To Logo Ka Dosro Par Jo Kuch Bhi Sood Ka Baqaaya Tha Us Ko Bhi Lene Se Mana Farma Diya Gaya.nnn

???????????? ????????? ?????????? ????????? ??????? ????????? ??? ?????? ???? ???????????? ??? ?????? ????????????

nnAye Iman Waalo Allah Se Daro Aur Chhor Do Jo Baaqi Reh Gaya Hai Sood Agar Musalman Ho.nn(Surah Al Baqarah)nnSood Ko Qur?an E Kareem Me Itna Bada Gunaah Qarar Diya Gaya Hai Ke Sharab Noshi, Khinzeer Khane Aur Zina Kaari Ke Liye Qur?an E Kareem Me Wo Lafz Iste?mal Nahi Kiye Gaye Jo Sood Ke Liye Iste?mal Kiya Gaya.nnnAllah Ta?ala Ka Irshad Hai.nnn

????? ????? ??????????? ??????????? ???????? ????? ??????? ???????????? ?

nnPhir Agar Aisa Na Karo ( Sood Se Na Baaz Aao) To Yaqeen Kar Lo Allah Aur Allah Ke Rasool Se Ladaai Ka.nn(Surah Al Baqarah)nnSood Khane Waalo Ke Liye Allah Aur Us Ke Rasool ? Ki Taraf Se Elaan E Jung Hai, Aur Ye Aisi Sakht Wa?eed Hai Jo Kisi Aur Bade Gunaah Par Nahi Di Gayi.nnMash?hoor Sahabi E Rasool Hazrat Abdullah Ibn E Abbas RaziAllahu Ta?ala Anh Ne Farmaya Ke Jo Shakhs Sood Chhorne Par Tayyar Na Ho.nnTo Khaleefa E Waqt Ki Zimme Daari Hai Ke Wo Us Se Tauba Karaye Aur Baaz Na Aane Ki Surat Me Us Ki Gardan Uda De .nnAllah Tabarak Wa Ta?ala Ne Sood Khane Waalo Ke Liye Qiyamat Ke Din Jo Ruswaai Aur Zillat Rakhi Hai Us Ko Allah Ta?ala Ne Apne Kalam E Majeed Me Irshad Farmayannn

????????? ??????????? ??????????? ??? ?????????? ?????? ????? ??????? ??????? ????????????? ???????????? ???? ???????? ?

nnWo Jo Sood Khate Hain Qiyamat Ke Din Na Khade Honge. Magar Jaise Khada Hota Hai Wo Jise Aaseb Ne Chhu Kar Makhboot Bana Diya Ho.nn(Surah Al Baqarah)nnSood Ko Jaayez Qarar Dene Waalo Ke Liye Irshad Huannn

??????? ??????????? ????????? ???????? ????????? ?????? ??????????? ?

nn(Ye Zillat Amez Azab) Is Liye Ke Unho Ne Kaha Baie? Bhi To Sood Hi Ki Maanind Hai.nn(Surah Al Baqarah)nnIn Ayaat E Kareema Me Allah Tabarak Wa Ta?ala Ne Insano Ko Halak Karne Waale Gunah Se Sakht Alfaz Ke Sath Bachne Ki Ta?leem Di Hai Aur Tauba Na Karne Waalo Ke Liye Jung Ka Elaan Farma Diya,nnNeez Farmaya Ke Kal Qiyamat Ke Din Sood Lene Dene Waale Zaleel O Ruswa Honge Aur Jahannam Me Daale Jayenge.nnNabi E Akram ? Ne Bhi Sood Se Bachne Ki Bahot Takeed Farmayi Hai Aur Sood Lene Aur Dene Waalo Ke Liye Sakht Wa?eeden Sunaai Hain.nnJin Me Se Kuch Ahadees Zikr Ki Jaati Hain.nnHuzoor E Akram ? Ne Hajjatul Wida Ke Mauqe Par Sood Ki Hurmat Ka Elaan Farmaate Hue Irshad Farmaya.nn(Aaj Ke Din) Jahiliyat Ka Sood Chhor Diya Gaya, Aur Sab Se Pehla Sood Jo Mai Chhorta Hu Wo Hamare Chacha Abbas (RaziAllahu Ta?ala Anhu) Ka Sood Hai.nnWo Sab Ka Sab Khatam Kar Diya Gaya Hai.nnnAsl Me Hazrat Abbas RaziAllahu Ta?ala Anh Sood Ki Hurmat Se Qabl Logo Ko Sood Par Qarz Diya Karte The.nnIs Liye Huzoor ? Ne Farmaya Ke Aaj Ke Din Mai Unka Sood Jo Dosre Logo Ke Zimme Hai Wo Khatam Karta Hu?nn(Muslim Shareef)nnHuzoor E Akram ? Ne Irshad Farmayann7 Halaak Karne Waale Gunaah Se Bacho! Sahab E Kiraam Ne Arz Kiya.nnYa RasoolAllah ? Wo 7 Bade Gunah Kaun Se Hain (Jo Insano Ko Halak Karne Waale Hain).nnHuzoor E Akram ? Ne Irshad Farmayann(1) Shirk Karna,nn(2) Jaadu Karnann(3) Kisi Shakhs Ko Naa Haq Qatl Karnann(4) Sood Khanann(5) Yateem Ke Maal Ko Hadapnann(6) (Kuffar Ke Sath Jung Ki Surat Me) Maidan Se Bhagna,nn(7) Paak Daaman Aurato Par Tohmat Lagana.nn(Bukhari, Muslim)nnHuzoor E Akram ? Ne Sood Dene Aur Lene Waale, Soodi Hisab Likhne Waale Aur Soodi Shahadat Dene Waale Sab Par Laanat Farmayi Hai.nnSood Lene Aur Dene Waale Par Huzoor E Akram ? Ki Laanat Ke Alfaz Hadees Ki Har Mash?hoor O Ma?roof Kitabo Me Maujood Hai.nn(Muslim, Tirmizi, Abu Dawood, Nisai)nnHuzoor E Akram ? Ne Irshad Farmayann4 Shaks Aise Hain Ke Allah Ta?ala Ne Apne Liye Laazim Kar Liya Hai Ke Un Ko Jannat Me Dakhil Nahi Karega Aur Na Un Ko Jannat Ki Ne?mato Ka Zaayeqa Chakaayegann(1) Sharab Ka Aadinn(2) Sood Khane Waalnn(3) Na Haq Yateem Ka Maal Udaane Waala.nn(4) Maan Baap Ki Na Farmani Karne Wala.nn(Kitaab Al Kabaair Lizzahbi)nnRasoolullah ? Ne Irshad FarmayannSood Ke 70 Se Zyada Darje Hain Aur Adna Darja Aisa Hai Jaise Apni Maan Se Zina Kare.nn(Haakim Al Baihaqi, Tibraani)nnRasoolAllah ? Ne Irshad FarmayannEk Dirham Sood Ka Khana 36 Martaba Zina Karne Se Zyada Hai.nn(Ahmad, Tibraani)nnAllah Tabaarak Wa Ta?ala Hum Tamam Logo Ko Halal Kamaane Halal Khaane Ki Taufeeq Ataa Farmaaye, Haraam Kamaane Aur Khaane Se Bachaye.n???? ???? ???? ???????? ?nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love