Jawab:
Waada Khilaafi Amali Jhoot Mein Shumar Hota Hai Aur Ahed Ko Pura Karna Sidq Aur Sach Kehlata Hai.
Islam Ne Badi Takeed Ke Sath Ahed Ko Pura Karne Ka Hukm Diya Aur Waada Khilafi Ki Mazammat Farmayi Hai.
Quran E Paak Mein Irshad Hua
Aur Ahed Pura Karo, Beshak Ahed Se Sawal Hona Hai.
17-Al-Isra : 34
Quran Ne Un Logo Ki Tareef Farmayi Jo Apne Waade Paas O Lihaaz Rakhte Hain. Irshad Hua.
Aur Wo Jo Apni Amanato Aur Apne Ahed Ki Hifazat Karte Hain.
70-Al-Maarij : 32
Khud Allah Taala Ki Is Sifat Ka Baarha Zikr Hua Ke Wo Waada Khilaafi Nahi Farmata.
Huzoor E Akram Sallallahu Taala Alayhi Wa Sallam Ne Apne Irshadat Ke Zariye Bhi Ifa E Ahed Ki Ahmiyat Aur Waada Khilaafi Ki Mazammat Bayan Farmaayi Hai.
Hadees E Paak Mein Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Taala Alayhi Wa Sallam Ne Irshad Farmaya:
Munafiq Ki 3 Alaamate Hai
- Jab Baat Karein To Jhoot Bole,
- Jab Waada Karein To Khilaaf Warzi Karein
- Aur Jab Us Ke Paas Amanat Rakhwai Jaayein To Us Mein Khiyanat Karein.
(Muslim Shareef)
Gaur Farmayein Ke Hamare Aaqa Sallallahu Taala Alayhi Wa Sallam Ne Waadah Khilaafi Ko Nifaaq Mein Shumaar Farmaya.
Is Se Andaza Kiya Ja Sakta Hai Ke Waada Khilafi Kis Qadr Mazmoom Baat Hai.
Ye Niyat Ki Bad Diyaanati Aur Jhooti Niyat Ka Nateeja Hai.
Kyu Ke Admi Gunahgar Us Waqt Hai Jab Ke Waada, Ya Ahed Karte Waqt Us Ki Niyat Hi Wafa Ki Na Ho.
Ya Baad Mein Wafa Ki Niyat Par Qaayem Na Rahein.
Aur Wo Duniya Mein Bhi Ruswa Hota Hai Aur Akhirat Mein Us Ki Ruswaai To Hogi Hi.
Haan Agar Niyat Waada Pura Karne Ki Hai.
Magar Halaat Ke Hatho Be Ikhtiyar Hone Ki Wajah Se Waada Pura Na Kar Saka, To Us Par Muaakhaza Nahi.
Aur Allah Taala Har Ek Ke Dilo Ke Halaat Ko Khoob Janne Wala Hai.
Ke Kaun Apne Waade Mein Saccha Hai Kaun Jhoota.
Allah Taala Hamesha Is Gunah E Azeem Se Mahfooz Rakhein. Ameen
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi