Hazrat Nabi E Kareem Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Namaze Janaza Kisne Padhaya Hai?

Jawab:

Janaaza e Aqdas Par Namaz Ke Baab Mein Ulama Mukhtalif Hain.

Kuch Logo Ke Nazdeek Ye Namaz Ma’roof Na Hui.

Balke Log Giroh Dar Giroh Haazir Aate Aur Salaat O Salam Arz Karte.nAur Bahot Ulama Yahi Namaz E Ma’roof Maante Hain Ke Sayyedna Siddeeq e Akbar RadiaAllahu Taala Anhu Taskeen E Fitan O Intezam E Ummat Mein Mashgool.

Jab Tak Un Ke Dast E Haq Parast Par Bait Na Hui Thi Log Fauj Dar Fauj Aate Aur Janaza E Anwar Par Namaz Parhte Jaate.

Jab Bait Ho Chuki Aur Hazrat Abu Bakr E Siddeeq Wali E Sharai Hue.

To Unho Ne Janaza e Muqaddas Par Namaz Parhi.

Phir Kisi Ne Na Parhi.

Is Liye Ke Wali Ke Namaz Parh Lene Ke Baad Phir Namaz e Janaza Ke I’aada Ka Ikhtiyar Nahi.

Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiaAllahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:

“Jab Mere Ghusl O Kafan Se Faarig Ho Mujhe Na’sh E Mubarak Par Rakh Kar Baaher Chale Jao.

Sab Se Pehle Jibreel Mujh Par Salaat Karenge Phir Mikaail Phir Israafil Phir Malak Ul Maut Apne Saare Lashkaro Ke Sath.

Phir Giroh Giroh Mere Paas Hazir Ho Kar Mujh Par Durood O Salam Arz Karte Jaao”.

(Baihaqi, Tibraani Mo’jam e Ausat Ba Hawaala Fatawa Razavia Jild 4 Safah 54)

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love