Jawab:nnHadrat Ikramah Radi-Allahu Ta’ala Anh Bayan karte hain ke Sayyedna Abdullah ibn Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma ne Farmaaya:nnHadrat Sayyedna Muhammad Mustafa ? ne apne Rab ka Deedar kiya hai.nnMain ne Arz kiya: Kya Allah Ta’ala Ne ye Nahi farmaaya Nigaahein uska Ihaata nahi kar sakteen Aur wo Nigaaho ka idraak o ihaata karta hai?nnTo Hadrat Abdullah ibn Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma ne farmaaya:nnTum par ta’jjub hai! Jab Allah apne us Noor ke sath Tajalli farmaaye jo uska gair mutanaahi Noor hai aur beshak Sayyedna Muhammad ? ne apne Rab ka do martaba deedar kiya hai.nn(Tirmizi, umdatul qari sharah bukhari, tafseer ibn e kaseer, subul ul huda warrishad, mustadrak ala assahihain, musnad ahmad mu’jam e kabeer, tafseer ibn abi haatim, surah an’aam)nnHadrat Abdullah ibn Abbas Radi-Allahu Ta’ala anhuma ne Bayan farmaya kennHadrat Rasoolullah ? ne farmaya: main ne apne Rab ka Deedar kiya. (Musnad ahmad)nnHadrat ibn e Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma se Riwayat hai ke Allah Ta’ala ne Hadrat ibrahim ko khullat aur Hadrat moosa Alaihissalam ko kalam aur Sayyed e Alam Muhammad ? ko apne deedar se imtiyaz bakhsha (salawatullahi alaihim ajma’een).nnKa’b ne farmaya ke Allah Ta’ala ne Hadrat Moosa alaihissalam se do baar kalam farmaya aur hadrat Muhammad mustafa ? ne Allah ta’ala ko do martaba dekha.nnTirmizinnYahan chand baaton ka lehaaz rakhna zaruri hai.nnEk ye ke Hadrat Aisha Siddeqah Radi-Allahu Ta’ala Anha ka Qawl Nafi me hai.nnAur Hadrat ibn e Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma ka qawl isbaat me hainnAur Musbat Muqaddam hota hai.nnKyu ke Nafi karne wala kisi cheez ki nafi us waqt karta hai ke Usne nahi sunanAur musbit isbaat is liye karta hai ke usne suna aur jana.nnTo ilm musbit ke paas hai.nnDosri baat ye ke hadrat ummul momineen Aisha Siddeqah radi-Allahu Ta’ala anha ne ye kalam huzoor ? se naql nahi kiya.nnBalke Khud Aayat se istembaat farmayann??????? ???????nnNigaahein us (Allah) ka ihaata (gher) nahi kar sakti.nnYahan par Ihaata (gherna) ki Nafi hai.nnRuyat (dekhne) ki nafi nahi hai.nnSahih yahi hai ke Huzoor ? Deedar e ilahi se musharraf farmaye gaye.nnMuslim shareef ki hadees e Marfoo’ se bhi yahi saabit hai.nnHadrat ibn e abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma bhi isi par hain.nnMuslim ki hadees hai Huzoor ? ne farmaya ke “mai ne apne Rab ko apni Ankh aur apne dil se dekha”.nnHadrat Hasan Basri Radi-Allahu Ta’ala Anh Qasam Khaate the ke Huzoor ? ne shab e meraaj apne Rab ka deedar kiya.nnHadrat imam Ahmad ne Farmaya ke Huzoor ? ne apne Rab ko dekha, usko dekha, usko dekha.nnImam saheb Ye Farmaate rahe yahan tak ke unka saans toot gaya.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????