Abdullah Bin Amr Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai.

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mere Upar Zafrani Rang (Saffron Color, Bhagwa Rang) Ke Do Kapde Dekhein To Farmane Lage Ye Kuffar Ke Kapdon Mein Se Hai Tum Inhe Mat Pehno (Sahih Muslim, Jild 5, 5436)Hazrat Kya Is Hadees Ke Tahat Waise Colour Ke Kapde Nahi Pahanna Chahiye?

Chishti Silsile Wale Aksar Yahi Colour Istemal Karte Hai. Wazahat Farmaye.

Jawab:Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah Radiallahu Taala Anhu Irshad Farmate Hai.

Kusum, Ya Zafraan Ka Ranga Hua Kapda Pahanna Mard Ko Mana Hai.

Gehra Rang Ho Ke Surkh Ho Jaayein, Ya Halka Ho Ke Zard Ho Jaaye, Dono Ka Ek Hukm Hai.

Aurato Ko Ye Dono Qism Ke Rang Jaayez Hai.

In Dono Rango Ke Siwa Baaqi Har Qism Ke Rang Zard, Surkh, Dhani, Basanti, Champeli, Narangi, Wagairah Mardo Ko Bhi Jaayez Hai.

Agarche Bihtar Ye Hai Keh Surkh Rang (Laal Rang), Ya Shokh Rang Ke Kapde Mard Na Pehne.

Khususan Jin Rango Mein Zanana Pan Ho Mard Usko Bilkul Na Pahne.nnAur Ye Mumanaat Rang Ki Wajah Se Nahi.

Balkeh Aurato Se Tashabbuh Hota Hai, Is Wajah Se Mumanaat Hai.

(Bahar E Shariat Hissa 16 Safah 52)

Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi Radiallahu Taala Anhu Irshad Farmate Hai.

Aurat Ko Har Qism Ka Rang Jaayez Hai.

Jab Tak Ke Us Mein Koi Nijasat Naho Aur Mard Ke Liye Do Rango Ka Istisna Hai Muasfar Aur Muzafar.

Yani Kusum O Kesar, Ye Dono Mard Ko NaJaayez Hai. (Yani Kusum O Zafaraan Se Ranhmga Hua Kapda) Aur Khaalis Shokh Rang Bhi Use Munasib Nahi.(Fatawa Razviyyah Jild 9 Safah 76 Nisf Aakhir)

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love