Maine Ek Post Me Padha Hai Ki. Nabi ? Ne Ghar Ke Kaam Kiya Hai.

Jaise Ki Bartan Dhona Jhadu Lagana Iski Kya Haqiqat Hai Aur Khana Pakana Bhi.nnANSWERnnMadarijun Nubuwwah Me Zikr Hai K Huzoor-E-Akram ? Ahl E Khana K Khud Kaam Kaaj Karte Aur Apne Kapde Khud Seete, Apni Na?lain-E-Mubarak Khud Durust Farmaate Aur Apni Bakri Ka Doodh Khud Doohte.nnnKapde Se Gard O Gubaar Saaf Farmaate, Ap Apni Sawari K Unt Ko Khud Bandhte, Aur Khud Hi Usko Chaara Wagaira Daalte The.nnnAtta Gundhne Me Khadim Ki Madad Farmaate, Aur Khadim Ka Sath De Kar Madad Farmaate The. Uske Sath Khana Khaate.nnnKitabo Me Milta Hai K Ap Bahot Se Khuddam Aur 10 Gulaam Rakhte The.nnnLehaza Ba Nafs E Nafees Kaam Sar Anjaam Dete Aur Kabhi Unhe Hukm Farma Diya Karte Aur Kabhi Unke Sath Mil Kar Kaam Karte The Aur Bazar Se Apna Saman Khud Utha Kar Laate Aur Kisi Dosre Par Uthaane Ke Liye Na Chhorte The.nnnWa-Allahu Ta?ala A?lamnnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love