Wo Sahabi-E-Rasool Kaun The Jinko Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam

Ne Sayyadul Ansaar Ke Khitaab Se Nawaza Tha Aur Unki Wafaat Pe Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaye Ki Yah Wah Shakhs Hai Ki Iske Liye Arsh Hil Gaya,

aur Iske Liye Aasmaan Ke Darwaze Khol Diye Gaye, Aur Iske Janaze Par Sattar Hazaar (70,000) Farishte Haazir Huwe,

Is Shakhs Ko Qabr Ne Ek Martaba Dabocha Fir Kushada Ho Gayi?

Jawab:

Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiyallahu Taala Anhuma Kahte Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne (Hazrat SaAd Bin MAaz Ki Wafaat) Par Farmaya Ki Yah Wah Shakhs Hai Ki Iske Liye Arsh Hil Gaya, Aur Iske Liye Aasmaan Ke Darwaze Khol Diye Gaye, Aur Iske Janaze Par Sattar Hazaar (70,000) Farishte Haazir Huye, Is Shakhs Ko Kabr Ne Ek Martaba Dabocha Fir Kushada Ho Gayi,

Mishkaat, Jild-1, Safa Number-26

Hazrat SaAd Bin MAaz Ansaar Ke Qabeela Aous Ke Sardare Aazam The, Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Inko Sayyadul Ansaar Ke Khitaab Se Nawaza Tha.

Note:- Waazeh Rahe Ki Dabochna Do Qism Ka Hota Hai, Ek Dushmani Ka Dabochna: Jaise Ek Dushman Apne Dushman Ko Dabocha Karta Hai, Aur Ek Pyaar Mein Dabochna: Jaise Maa Apne Bachche Ko Pyaar Me Daboch Liya Karti Hai, To Hazrat SaAd Bin MAaz Ko Kabr Ne Muhabbat Wa Pyaar Me Dabocha Tha.

Mishkaat, Jild-1, Safa Number-26

Jawahirul Hadees, (Musannif-Shaikhul Hadees Hazrat Abdul Mustafa Aazmi Alaihirrahmatu Warrizwan) Page Number-161 &Amp;162.

Al-Khasais-Ul-Kubra, (Musannif-Allama Imaam Jalaluddin Suyuti Rahmatulaal Alaihi) Jild-Awwal, Safa Number-370 &Amp; 371

Share your love