To Kya Uska Hajj Hojayega Hai?
Jawab:
Hajj Ho Jaayega Par Gunahgar Huyi.
MasAla: Aurat Ka Gulam Uska Maharam Nahi Ki Uske Saath Bhi Nikah Ka Haram Hona Hamesha Ke Liye Ki Agar Aazad Kar De Us Se Nikah Kar Sakti Hai.
Zohara
MasAla: Baandhiyaan Ko Bagair Mahram Ke Safar Jaayez Hai.
Zohara
Note: Is Zamane Mein Fatwa Is Par Hai Ki Bagiar Mahram Ke Baandhi Ko Safar Najayez Hai.
Qadri
MasAla: Agarche Zina Se Hamesha Ke Liye Haram Ho Jaata Hai.
Maslan Jis Aurat Se MaazAllah Zina Kiya. Uski Ladki Se Nikah Nahi Kar Sakta.
Magar Us Ladki Ko Uske Saath Safar Karna Jaayez Nahi.
Durre Muhtaar Safa 145
MasAla: Aurat Bagair Mahram, Ya Shohar Ke Hajj Ko Gayi To Gunahgaar Huyi.
Magar Hajj Karegi To Hajj Ho Jayega.
Zohara
MasAla: Aurat Ka Na Shohar Hai.nnMaharam To Us Par Yah Wajib Nahi Ki Hajj Ke Jaane Ke Liye Nikah Kar Le.
Aur Jab Maharm Hai To Hajj e Farz Ke Liye Maharm Ke Saath Jaayein.
Agarche Shohar Izazat Na Deta Ho Nafl Aur Mannat Ka Hajj Ho To Shohar Ko Mana Karne Ka Ikhtiyaar Hai.
Zohara
MasAla: Mahram Ke Saath Jayein, To Uska Nafqa Aurat Ke Jimme Hai.
Lihaza Ab Sharth Yah Hai Ki Apne Aur Uske Dono Ke Nafqe Par Qadir Ho.
Durre MuhtaarRaddul Muhtaar
3) Jaane Ke Jamaane Mein Aurat Iddat Mein Na Ho, Wah Iddat Wafaat Ki Ho, Ya Talak Ki Baayin Ki Ho Ya Rajaee Ki.
4) Qaid Mein Na Ho. Magar Jab Kisi Ki Haq Ki Wajah Se Qaid Mein Ho Aur Us Ke Ada Karne Par Qadir Ho.
To Yah Ujr Nahi Aur Baadsha Agar Hajj Ke Jaane Se Rookta Ho Yah Ujrr Hai.
Durre Muhtaar
Raddul Muhtaar
Bahar-E-SahariAt Part 06 Safa 16
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi