Jisne Pehle Se Hajj Kar Liya Ho? Jis Shakhs ne Hajj Nahi Kiya Ho Kya Usko Bhejne Mein Koi Karahat Hai?
Hazrat rehnumai farmaiye
Jawab:
Hajj e Badal Karne Wale Ke Liye Zaruri Nahi Ke Pehle Us Ne Hajj Kiya Ho.
Agar Hajj Kisi Par Farz Hai aur Apni Jagah Dosre ko Hajj e Badal Ke Liye Bheje to Makrooh e Tahrimi Hai.
Aur Agar Hajj Farz na tha Phir Bhi Hajj e Badal ke liye bhejna Khilaaf e Awla hai.
Baher Haal behtar ye hai ke Kisi Aise Shakhs ko Hajj e Badal ke Liye Bheja Jaayein Jisne pehle Hajj kiya ho aur Arkaan e Hajj Sahi Tarah se Maloom ho.
Taake sahi Tareeqe se Hajj Mukammal Hojaye.
Wa-Allahu Ta’ala A’lam
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi