Jamra ke pass se kankariyan Uthana kaisa hai?

Jawab:

Kankariyan zameen ki jins ( Qism ) se ho Aur Aisi Cheez ki jisse tayyammum jayez hai kankar, patthar, mitti Yahan tak ki Agar khaak phenki jab bhi Rami ho gayi.

Magar ek kankari phekne ke kaayim makaam huyi.

Moti, Ambar, Mushaq wagairah se Rami jaayez nahi.

Yuhi jawaahir Aur sone chaandi se bhi rami nahi ho sakti, ki yah to nichawar huyi, maarna na huwa.

Mingni se bhi Rami jaayez nahi.

Jamra ke pass se kankariyan uthana makrooh hai ki waha ki kankariyan Rheti hai, jo makbul nahi hoti Aur madud ho jati hai Aur jo makbul ho jaati hai utha li jaati hai.

Raddul Muhtaar

Agar malum ho ki kankariyan naajis ( Naa-paak ) hai to unse rami karna makrooh hai Aur malum naho, to nahi Magar dooh lena mustahab hai.

Is Rami ka waqt aaj bhi fajr (Subah Sadiq) se 11vi ki fajr tak hai.

Magar sunnat yah hai ki tulu e Aftab se zawal tak ho Aur zawal se gurub tak mubaah aur Gurub se Fajr tak makrooh.

Yuhi 10vi ki namaz e fajr ka waqt shuru hone se tulu e Aftab tak makrooh Aur agar kisi Ujr ke sabab ho maslan charwaho ne raat mein rami ki to karaahat nahi.

Bahare shariat Hissa 06 Safa 84

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love