Unko India Goverment India Se Hajj Ke Time India Se Bejti Hai Aur Uski Tankha Indian Goverment Deti Hai.
Masla Ye Hai Ki Wo Masha’Allah Umrah To Kar Liya Madina Shareef Bi Duty Karke Wapis Makkah Shareef Poch Gaye.
Ab Unki Duty Mina Mein Lagegi Aur Unko Ye Bataya Gaya Ki Aap Log Duty Mein Ihram Nahi Badho Ge.
Matlab Ki Wo Hajj Nahi Kar Sakte. Aisi Position Mein Kya Karna Chahiye.
Kafi Log is Masle Mein Fase Hai.
Jawab:
Agar Hajj e Farz Ada ho Chuka.
Yaani ek Baar Unho Ne Hajj Kar Liya Hai.
To Ab Wo Makkah Shareef Umrah Ki Niyat Se Jaayein Aur Umrah Karke Ihram Se Baaher Aa Jaayein.
Ab iske Baad Wo Mina Wagaira Mein Hajiyo Ki Khidmat Kar Sakte Hain.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi