Kya Youm E Arafat Ke Din Roza Rakna Mana Hai

HADEES:- Hazrat e Abu Qatadah RadiAllahu Taala Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam farmate hai

Mujhe Allah taala par gumaan hai ke arfah ka roza 1 saal qabl aur 1 saal baad ke gunaah mita deta hai.

Muslim / Abu daaud / Tirmzi

HADEES:– Ummul Momineen Siddiqa RadiAllahu Taala Anhu se riwayat hai RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam arafat ke roza ko 1000 din ke barabar batate.

Baihaqi / Tibrani

HADEES:– Hazrat e Abu Hurairah RadiAllahu Taala Anhu se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne arafat ke din (Arafat) mein roza rakhne se mana farmaya.

Abu daaud / Nasai

MASLAH:– Hajj karne wale par jo arafat mein hai use arafat ke din ka roza makrooh hai.

Bahar e shariat

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love