ARAFAT O EIDAIN WAGAIRAH KI RAATO MEN SHAB BEDAARI?nnHADEES:- Hazrat e Abu Umamah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai ke RasoolAllah ??? ???? ????? ???? ???? farmate hain jo eidain ki raato me qiyaam (ibadat) kare uska dil na marega jis din logo ke dil marenge.nn(Ibn e majah)nnHADEES:- Hazrat e Ma’aaz Bin Jabal ??? ???? ????? ??? se riwayat hai farmate hai jo 5 raaton me shab bedaari kare uske liye jannat wajib hai.nnZulhijja ki (8) aathwen, (9) nauwen, (10) daswen aur eidul fitr ki raat aur sha’ban ki pandrahwe raat yani shab e barat.nn(Asbahani)nnMASLAH:- Eidain aur pandrahwein sha’ban ki raaton aur ramzan ki akheer 10 raato aur zulhijjah ki pahli 10 raaton me shab bedaari mustahab hai aksar hissa me jaagna bhi shab bedaari hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Eidain ki raaton me shab bedaari ye hai ke isha o subah (fajar) dono jamat e oola se ho ke sahih hadees me farmaya jisne isha ki namaz jamat se padhi usne aadhi raat ibadat ki aur jisne namaz e fajar jamat se padhi usne saari raat ibadat ki un raato me agar jaagega to namaz e eid o Qurbani wagairah me diqqat hogi.nnLehaza isi par iktefa kare aur agar in kaamo me farq na aaye to jaagna bahut behtar.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- In raato me tanha nafl namaz padhna aur tilawat e Quran e majeed aur hadees padhna aur sunna aur durood shareef padhna shab bedaari hai na ke khaali jaagna.nn(Bahar e shari’at)nnBahut se log in raaton me idhar udhar ghoom kar laa yani aur fuzul baaton me poora waqt guzaar dete hain ise shab bedaari nahi kahte.nnBalke shab bedaari ye hai ke agar zindagi me namazein qaza ho to use ada karein, ya nafl padhein, ya durood o azkaar o wazaaif aur auraad me mashgool rahein.nnAllah ????? hamein in raaton ki ta’zeem o takreem ki taufeeq ata farmaye aur in raaton me ziyadah se ziyadah ibadat o riyazat ki taufeeq ata farmaye.nnAameen……nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAIL E EIDUL AZHA O QURBANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????nn