Zaid Jeddah Karobar Ke Liye Jata Hai

Phir Waha Se Sirf Tawaf Ke Liye Makkah Gaya. To Kya Usko Ihram Pahenna Zaruri Hai.

Ya Agar Woh Makkah Karobar Ke Liye Jayein To Kya Us Ko Ihram Pahenna Zaruri Hai?

Jawab:

Agar Zaid Mustaqil Jeddah Hi Jaane Ke Irade Se Nikla Aur Wahan Apne Kaam Kaaj Kar Ke Agar Wahan Se Makkah Jana Chahein, To Ihraam Zaruri Nahi.

Aur Agar Pehle Se Hi Mustaqil Taur Par Makkah Jaane Ka Irada Ho.

Agarche Karobar Hi Ke Liye To Use India Se Nikalne Ke Baad Miqaat Se Pehle Ihraam Bandhna Wajib Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love