Ehram Ke Liye Niyat Sharth Hai Aur Agar Bagair Niyat Labbaik Kaha Ehram Pe

Jawab:

Ehram Ke Liye Ek Martaba Jaban Se Labaik Kahna Jaruri Hai.

Aur Agar Uski Jagah Ya Koyi Aur Zikre Ilahi Aur Ehram Ki Niyat Ki To Ehram Ho Gaya.

Magar Sunnat Labbaik Kahna Hai.

Gunga Hoto Use Chahiye Ki Hoot Ko Jumbish De.

Ehram Ke Liye Niyat Sharth Hai.

Agar Bagair Niyat Labbaik Kaha Ehram Na Huwa.

Yoonhi Tanha Niyat Bhi Kaafi Nahi Jab Tak Labbaik Ya Uske Kayam Makaam Koyi Aur Cheez Naho.

Ehram Ke Waqt Labbaik Kahe To Uske Saath Niyat Bhi Ho Yah Baarah Malum Ho Chuka Hai.

Ki Niyat Dil Ke Irade Ko Kahte Hai. Dil Mein Irada Na Ho To Ehram Hi Na Huwa Aur Behtar Yah Hai Ki Jabaan Se Bhi Kahein Maslan Kiraan Mein Aur Tamattoa Aur Ifrqad Mein Kahein.

Bahar E Shariat Hissa 06 Safa 34/35

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love