Zaid Jab Hajj Ko Gaya Tha To Waha Usne Dekha Ke Kuch Haaji

Apne Chappal Ko Dhokar Fir Kapde Ki Theli Wagairah Mein Daal Kar Masjid E Haram Mein Umrah Ya Tawaaf Karte The.

Unka Kehna Tha Ke Aise Hamare Chappal Gumte Nahi Or Hum Dusro Ke Bhi Nahi Pehente.

To Kya Aisa Karna Durust Hai?

Dhoye Huye Chappal Ke Sath Tawaf Karna Be-Adbi Hogi Kya?

Jawab:

Agar Chappal Wagaira Is Tarah Liya Ho Ke Us Se Be-Adabi Hoti Ho, To Usse Bacha Jaayein Warna Tawaaf Bahar Haal Ho Jayega.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love